Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
Asma lakh uncha ho magar jhuk jata hai,
Dosti me duniya lakh bane rukawat,
Agar dost sacha ho to khuda bi jhuk jata hai.
Some joys are better explained in silence,
as a smile gets more audible than laughter.
I was asked if I enjoyed my friendship with
you. I just smiled..:)
Dard jitna saha jaye utna hi sehna,
Kisi ke dil ko jo lag jaye vo baat na kehna,
Milte hain hamare jaise dost bahut kam,
Isline humse "Kabhi Alvida Na Kehna"