ye dil na jaane kya kar baitha.
mujhse puche bina hi faisla kar baitha.
is zameen par toota sitara to nahi girta.
aur ye pagal chand se DOSTI kar baitha...
barsat mein ham pani ban k baras jainge...
patjhar mein ham phol ban k jhar jainge...
kia hua jo aaj aap ko tang karte hain...
ek din aap ko bin bataye hi chalay jainge.
Hamaare to daaman mein kaanto ke siva kuch nahin.
Aap to phoolon ke kharid-daar nazar aate hain.
Jahan mein kitne dost mile hume par sabse ache
aap nazar aate hain..
Jab-Jab tanhai ne unko sataya hoga,
tab-tab unko mera khayal aaya hoga,
ghum yeh nahi hai ki woh bhool gaye humko
ghum yeh hai ki Ro-Ro kar Bhulaya hoga.