Mohabbaton ki saza

Mohabbaton ki saza
Mohabbaton ki saza bemesaal de usnay,
Udas rehnay ke aadat daal de usnay,
Meray wjood pe jab itnay zakhm dekh chuka,
To jan boojh k kanton ke shaal de usnay.
  

Jun, 05 2010     161 chars (2 sms)     2792 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

burhi ho jati h kuch or tasal'lifarhat
dard ho jata h kuch or jawan sham ke bad
Jin ko milta hai bohat sa pyar
Wohi Log to khush naseeb hotey hein

Aur jinn k liye nafrat b na ho jahan mein
wohi log haqeeqat mein ghareeb hotey hein
Ab k Mujh Ko Dekh K Wo Dekhta Reh Jayega

Is Qadar Badlainge K Sochta Reh Jayega

Mere Chehre Pe Bhi Honge Be-rukhi K Zawiye

Aisa Hy k Wo Mujh Main MujhKo Dhundta Reh Jayega

Ab K Us Ki Gali Se Mera Guzar Mumkin Nahi

Apne Ghar Ki Khirkio''n Se Wo Jhankta Reh Jaye Ga

Kyun Aansuo''n Ki Dhuul Main Zindag Jhonk Doon

Dil Ka Kia Hy Ye Tou Tuta Raha Hy Aur Tuta Reh Jaye Ga
maa teri muhabat ko kis terha bayan kero in chand lafzon mai.

tera matha choom kar mujhe subha mujhe jagana or lori de kar raat ko sulana.
wo to ambar hai...
usey apne anchal par,
chand sajane ka haq hai
mai to fakat ek khushboo hu
khushbuo ka mukaddar to
azal me bikhar jana hi likha hai
khushboo hath nahi hati
na hi chand aur khushboo ka
wasl mumkin hai
ye to hawao ki musafir hai
chand to thos hakikat hai
jo ambar par hi sajta hai............
Tum Akser Yaad Aty Hoo
Tum Akser Yaad Aty Hoo
Aur Itna Yaad Aty Hoo
Kah Yadoon K Sabhi Moti
Meri Umeed K Ansu
Mery Yeh Zabbt K Gohar
En Aankhon K Samundar Se
Meri Palkoon K Sahil Per
Chaly Aty Hain Chupky Se
parhna Hai to insanon ko Parhne Ka Hunar Sikho


Har ek Chahre Pe Likha Hai Kitabon se Ziada.
tum ik charagh ki khairat de rahe ho mujhe.

main aftab se daman churra k aya hoon.
Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna

Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna
Sagar kinare baithe
Lehron ko dekh rahe
Uchhalti, Kudti, chulbuli si
Koi chhoti, to koi badi
Surya ki keerne se khelte khelte
Kinare se takrati
aur sagar mein phir se sama jaati
Jaise sukun ki neend le rahi ho
Yehi hai zindagi!!!
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !
tum aao to sahi
ahlay dard ki mahfil may
palkay main apni bichaoo ga
bayshuk!
maray gahr kay bahir
patahr hai kahksha nahi
lakin!
kahas taray liay
main
dil ki galioo main
chahat kay phool pichaoo ga
tum aao to sahi