Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Yeh bhi saach hai ke nahi koi rishta tujh se...
Jitni umeedein hain wabasta hain tanhan tujh say....
Yeh alag baat tujhey toat ke chaha laykin....
Dil bemaya nain kuch bhi nahi chaha tujh say..!!
yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi
Maa Tanhiee koo Dost Bnaa Bethaa Hnoo
Jisaa Chataa Thaa Ysaa Gwana Bethaa Hno

Abb koi is Dil Kee Faryaad Na Sunaaa
Jisaa Pukarta Thaa Is Gwana Bethaa Hno

Buss Mujaa Anii Moot Kee Tmna To na Thii
buss Kuhdd He is Khale ko Khale Betha Hnoo
sub se yun milna k jesay dil main koi dukh na ho,
mujh main ye khoobi hai sub khaamyon k bawajood
Meri chahat ka hisab jo lagao gay,
To meri chahat ko bayhisab pao gay,

Meri chahat hay pani k bulbulay jesi,
Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge
yeh mausam sabz patoon ka

sunahri dhoop kirnoon ka

hamien kab raas aaya hai

hamari zard aankhoon ne banjar khwab hi dekhey

keh apni khwab aalood hasti main

aatab alood basti main

koi khushboo na aanchal hai

koi jhonka na badal hai
raabta toot jata he, silsila nahi milta
mujhay dehaan ki galiyon main raasta nahi milta

us kitaaray roshan main ik kami si lagti he
jis pe naam tha tera, wo diya nahi milta
log kehtey hein kabhi pyar na karna, kar lo to phir izhar na karna, aur agar izhar b kar lo agar tum, to uss sey kabhi takrar na karna,tum khud hee ho mamar(mason)apni subho sham k, iss liye kabhi kissi ka intizar na karna
Aise chup chaap hi mar jate hain

kuch log yahan

jism ki thandi si tareek sayaah Qabr k ander

na kisi saans ki awaaz

or na siski koi

na koi aah na jumbish

na hi aahat koi

aise chup chaap hi mar jaate hain

kuch log yahan

in ko dafnaane ki zahmat b uthaana nahi parti
Musalsal haadson sey bas mujhe itni shikayet hai




Ke ye aansoo baha lene ki bhi mohlat nahee dete
Roti Hoi Aankhon Se Tujhe Muskan Kese Doon

Anjaan Hoon Khud Se Tujhe Pechaan Kese Doon

Tu Hi To He Jan Meri...

Tu He Bata Tujhe Apni Jaan Kese Doon . . . ;->
mein ne mangi thi ujaley ki fakat aik kiran,
tum se yeh kis ne kaha aag laga di jaye...