Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Is Se Pehle Ki Dilo Me Nafrat Jaage
Aao Ek Shaam Mohabbat Me Bita Di Jaye
Karke Kuch Mohabbat Ki Baatein
Is Shaam Ki Masti Badha Di Jaye
Tum Mujhe Kabhi Dil Kabhi Aakhon Se Pukaro
Ye Hothon Ke Taqaluf To Zamane Ke Liye Hain
Ye Pyari Nigahein Yaad Rahengi
Milkar Na Milne Ki Ada Yaad Rahegi
Mumkin Nahi Ki Main Tumhe Bhula Dun
Aur Umar Bhar Tumhe Bhi Meri Yaad Rahegi
Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha
To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle
Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne
Aankhon Ko Ik Chand Dikha Diya Aapne
Hamein Zindagi To Di Kisi Aur Ne
Par Pyaar Itna Dekar Jeena Sikha Diya Aapne
Tujhe Bhoolkar Bhi Na Bhool Payenge Hum
Bas Yahi Ek Wada Nibha Payenge Hum
Mita Denge Khud Ko Bhi Jahan Se Lekin
Tera Naam Dil Se Na Mita Payenge Hum
Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe
Saara shehar meri deewangi say waqif raha magar...

Ik shakhs ki aankhon say be-aitbaari na gayi!!!
Aik he mil jaaye toot kar chahnay wala bohat hai

Mujh say qanaayet pasand hazaaron ki tamanna nahin rakhtay!
Wo chahti hai mohabbat ki bheek maangun
Us ko maalum shayed meri khud-daari ki intiha nahin

Agar aazmanay par he raazi hai meri anna to dekhna
Mujh say barh k phir zamaanay mein koyi be-wafa nahin..
Kuch na kisi se bolenge,
bas tanhai me chup chup ro lenge,
apni to musafir jaisi hai zindgi,
sath kisi ke bhi ho lenge,
ye zindgi ek zahar bhara pyala hai,
kab tak hum isme amrit gholenge,
ab nind to aankho me aati nahi,
chalo jab maut aayegi to ji bhar ke so lenge
Masoom muhabbat ka bas itna sa fasana hai,
kagaz ki haweli hai or barish ka zamana hai,
kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai,
aawaj bhi zakhmi hai or geet bhi gana hai,
us paar utarne ki umeed bahut kam hai,
kashti bhi purani hai or tufan ko bhi aana hai,
samjhe ya na samjhe wo andaz-e-muhabbat,
ek shakhs ko aankho se ek shair sunana hai,
bholi si ada koi fir ishq pe hai,
fir aag ka dariya hai or dud ke jana hai.