Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Apki yad ne mujhe fir rula diya,

bahut khush ho ap zalim jisne hame ye sila diya.

Do shabd bhi likhna na ata tha hume,

or aaj apki mohabbat ne mujhe shayar bana diya.
Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha
mere intezar ka sooraj her lamha pighalta raha

tay to yeh hua tha key payen gay aik hi manzil
beech rah main woh mukar geya soo-e-manzil main chata raha

kabi us key liye hans diye kabi us key liye ro diye
woh khud ko to na badal saka bus mujh ko he badalta raha

ab tak kaise chup raha yeh mut pooch Majid
waqt mujhay behlata raha or main behelta rah
Us nay kaha mugh say tumain kitna pyaar hia
main nay kaha sitroon ka koi shummar hia

uss nay kaha kon sa tohfa doon tumain
main nay kaha woh shaam jo ab tak udhaar hia
Chaha hai maine bohat shiddat se tum ko
Main tumhain bohat shiddat se yaad aaonga

Yun sakoon se tum kabhi bhi so na sakoge
Ban ke Dil ki kasak raat bhar jagaoonga

Ab ke baras sawan Dil main aag lagaye ga
Bhigo gi tum jab bhi baarish main main yaad aaonga

Her shair her nazam main nazar aayengi meri baatein
Parhoge jab bhi koi shairi main yaad aaonga
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii ''Yamini'' kam hai
Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,

Keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki...
USEKI BAATO SE ESI MOHHOBAT HO GYEE HAI.
KI BIN DEKHE DIL KO MERE USEKI CAHHAT HO GYEE HAI

AAKHO KO CAHHAT NAHI KI DEKHE AKS USEKA.
KI RUH KO JABESE USEKI IBBADAT HO GYEE HAI.

KAHENE KO SARI DUNIYA APANI SI LEGTI HAI.
PAR AAJ KISI KI GER KE LIYE JI RAHA HU MAI.

YE DIL KI MERE FITERAT HO GYEE HAI.
KI BIN DEKHE DIL KO MERE USEKI CAHHAT HO GYEE HAI
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai,
Tanhai mein sheher basaaya karta hai,

Kaisa paagal shaks hai saari saari raat,
Deewaroon ko dard sunaya karta hai,

Ro daita hai aap hi apni baatoon par,
Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai...!
yeh milna aur bicharr jaana
kab apne bas ki baat hai
kismat hi milati hai hum ko
kismat hi juddai deti hai
har baar yeh hi hota hai
koi hume bataye to sahi
ki aakhir kyu jo hum tum se nahi keh paate hai
wo dharkan se sunayi deta hai.
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...
Ab mujhe aayaa samajh gham hai mera unki khushi
Muskuraa kar ham tabhi phir Zakhm khane aa gaye

Laakh chaaha hamne rukh yaado se teri modana
Phir bite berah’m lamhe dil dukhaane aa gayee
jab wo tumhri mohabbat hay
tu main q noor-e- nazar tha

jab wo tumhri shar-e-kay
tu main q hamsafar tha

jab wo tumhri raazdan hay
tu main q hamraz tha

jab wo tumhri jan hay
tu main q jana-e- jana tha