Woh Nadiyan Nahi

Woh Nadiyan Nahi
Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe
  

Jun, 04 2010     135 chars (1 sms)     2370 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Meri Pehli Mohabbat, Wo Meri Pehli Shikast..
Phir To Paimaan-e-Wafa Sau Martaba Main Ne Kiya!
jab se samjha humne hota kya ye pyar,
karne lage tabse kisi ka intezar,
manne lage unhe duaon me kitni baar ,
na jane kab hoga us chand ka didaar
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
Kagaz ki kashti thi,pani ka kinara tha.

Khelne ki masti thi, Dil ye aawaaraa tha.

Kahan aa gaye is jawaani ke daldal me,

wo bachpan kitna pyara tha.
"Is umeed ko kabhi tootane mat dana,,
"Dil ka rishta kam hone mat dana,,

"kayi pyar milenge mjh sy bhi achay,,

"Bas meri jagah kisi ko lene mat dana"
Pyar me mila har gum uphar hota hai,
pyar wo hota hai jisme intjar hota hai.
Sadiyon tak intjar karte hai wo
jinhe apne pyar pe aitbar hota hai.
dariyaa kaa saahil ho
puure chaaNd kii raat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
pariyon kii mahafil ho
koii tumhaarii baat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye narm mulaayam ThanDii havaayen
jab ghar se tumhaare guzaren
tumhaarii Khushbuu churaayen
mere ghar le aayen


kabhii yuuN bhii to ho
suunii har manzil ho
koii na mere saath ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye baadal aisaa TuuT ke barase
mere dil kii tarah milane ko
tumhaaraa dil bhii tarase
tum nikalo ghar se


kabhii yuuN bhii to ho
tanahaaii ho, dil ho
buuNden ho, barasaat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho..........
Kon kehta hai k pani ko tarastay thay "HUSSAIN"

UN KAY HONTON ko tarasta raha pyaasa pani...
Mai Aik Phool Hoon

Woh Mujh Ko Rakh

Key Bhool Gaya...

Tamam Umr Ussi

Ki Kitab Mai Guzzri.
Dasht-E-Ghurbat main


jis pairh Ne,



mere Tnha Musafir Ki khatir,


Ghani Chaon Phailai hY,

Us ki Shaadabion k Liye

Meri sb Unglian

Hawa main

Dua Likh rahi Hain.
Wo Tou Baarish Ki
Boondai''n Dekh Kr
Khush Hota Hy

Us Ko Kia Maloom k
Hr Girny Wala Qatra
Paani Nahi Hota ...
Tum se roz milne ko dil chahta hai...

kuch sunne kuch sunane ko dil chahta hai...

Tha ap k mananai ka andaz aisa...

Roz ruth janai ko dil chahta hai...