w SMS Messages18904 messages

Rakhty Hain Jo Oroon K Liyeh Pyar Ka Jazba





woh Log Toot Ker Kabhi Bikhra Nahi Kerty
Thora Thora Jhoot Mila Lay Apni Sachi Batoon Mein







werna Yea Dunia Teray Rehne Kay Kabil Jagha Nahin...
Jo Manzar Ek Bar Guzar Jate Hain Nigah Se
Phir Dhoondti Aankhoon Mein wo Manzar Nahi Aate
Khuch Log Kisi Baat Per Ate Nahi Hain Yaad
Khuch Log Kisi Tor Bhulaye Nahi Jate
Apno ko jab apne kho dete hai, Tanhaiyo me wo ro dete hai, Kyu in palko par bithate hai log unko, Jo in palko ko aksar aansuo se bhigo dete hai...
=====ISHQ=====
Rone se gham-e-dil ka guzara nahi hota.……………..
Har ashq, gham-e-ishq ka sahara nahi hota.…………

Hai ishq ke dariya me toofan bhi bhanwar bhi.………
Par har kashti ke naseeb me kinara nahi hota.………

Ishq ka to ab kya bataen, isme aksar.…………………..
Jiske hum ho jaate hai wohi humara nahi hota..…….
Bhujay bhujay say ajeeb din hain
Khuwab hai na khayal koi
Na mnzaron mein koi kashish hay
Na mosamon mein jamal koi
Hum aik doojay ko apni apni
Adhoori ankhon say dekhtay hain
Hamari barson ki chahaton par
Utar raha hai zaawal koi
Jo hasna chahein tu ashk niklein
Jo rona chahein tu hanstay jaein
Hamary jazbaat girvi rakh kar
Bana raha hai missal koi
Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yaar chalta hai
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadat mein aajzi tu chalti hai
Martbay nahin chaltay
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
Silsilay taaluq k khud say ban tu jatay hain
Laikin in shagoofon ko
Tootnay bikharnay say
Rokna bhi parta hai
Chahton ki matti ko
Aarazo k poday mo
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baton ko
Bhoolna bhi parta hai
Kyou k
Ishq k ilaqay mein hukm-e-yaar chalta hai
Zabtay nahi
Meray Shikwon Par Us Nay Hans K Kaha Faraz

Kis Nay Ki tHi wafa Jo Hum Kartay
Teray Honton K Taqadus Ka Khayal Aata Hai Faraz

warna Pholon Ko Tu Hum Choom Lia Kartay Hain
apni khamosh zindagi main bulana mujhko
apni haseen khuawab ki tasveer banana mujhko,
main jo puchun tumhara hal-e-dil,
to apni her dharkan ki awaz sunana mujhko
wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua

Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks
Reshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanak

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada

Kanpate honthon pe thi allah se sirf ek dua
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara