w SMS Messages18904 messages

Tu k simta tu rag-e-jaan ki hadoon mai simta,
Mian k bikhra tu simta na gaya tere baad,
Yeh alag baat hai k afshan na hua tujh per warna,
Kitna mehsos kiye tujhay main nay tere baad,
diyar-e-dil ki raat mai chirag sa jhala gaya,
mila nahi tu kaya hua,wo shakal tu dekha gaya,
wo dosti tu kher naseeb-e-dushmana huee,
wo choti choti ranjishon ka lutaf b chala gaya
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay



Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete
Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Ameen
Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye Zaroori To Nahi Hai

Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai
Lab Pe Aati Hai Dua Ban K Tamana Meri
Dil Karta Hai SIM Band Karwa Doon Teri
Ho Mere Dam Se Har Jaga Ujala Ho Jaye
Jo Mujhe Sms Na Kare Us Ka Rang Kala Hojaye
Narahe Koi Gila Is Qadar wafa Denge
Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua Denge
Kya Ek Hum He Han Jo Kisi Ke Awaaz Ko Tarstay Han
Kya Ek Hum He Han Jo Kisi Ke Yaad May Martay Han
Unko Khabar Nahe K Unkey Call Kay Intzaar May
Kub Say Phone Pay Nazran Jamye Hum Bathay Han
Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle
Her Khwab Toot Jate Hain Sone Se Pehle
Ishq Hai Gunah Ye To Samajh Gaye
Kaash Koi Rok Leta Ye Gunah Hone Se Pehle
Aankhon Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi
woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi
woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho
Hum Hai Ki Unko Dekhne K Baad Soye Hi Nahi
Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay
Kartay Hain Boht Log Magar Hum Nahi Kertay
Hai Apni Tabiat Main Jo Khami Tu Yehi Hai
Hum Ishq Tu Kertay Hain Magar Kam Nahi Kertay
Nafrat Se Tu Behter Hai Ke Rastay Hi Juda Hoon
Bekar Guzar Gahon Ko Baham Nahi Kertay
Her Sans Mein Dozakh Ki Tapish See Hai Magar Hum
Soraj Ki Terhan Aag Ko Madham Nahi Kertay
Kia Ilm Ke Roatay Hon Tu Mar Jatay Hoon Ali
wo Log Jo Kabhi Ankhon Ko Naam Nahi Kertay