anchi banker daal se urd gaya mera Bachpana
Zamana kitna badal gaya mai aaj bhi
wahin pe hoon
Yaad banker aankh se behgaya mera Bachpana
Tha to mere sath hi na jaane kounsi ghadi
Zindagi ki bheerd mein Bichard gaya mera Bachpana
Na hotu us zalim se hamein mohabbat kabhi
Kash jo hota sath mere mera Bachpana
Dil na dhadka hota mera kabhi us ke liye
Ager ja
wani ka taaj pehna ker na jaata mera Bachpana
Kahan gayin
wo rangeeniyan jo sath thi mere us umr mein
wo lamhe youm hi sath hote jo sath hota mera Bachpana
Koi loutade mujhe mera bachpan kahaan gum hogaya
woh
Kyoun is bheerd mein tanha mujhe chord gaya mera Bachapana