Meethi neend Meethe

Meethi neend Meethe
Meethi neend Meethe khwaab,
Ho Gaya savera ab to jago janab.
Chand bhi chup gaya fir rat K intezar Me,
1 naya din shuru karo apni manzil ki talash Me.
  

Jun, 04 2010     154 chars (1 sms)     3105 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab Hu
Sawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab Hu
Jo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”
Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab Hu
Duniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha As
Sabse Nashili Aur Badnaam Sharaab Hu
Sar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab Hu
Dil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu
Youn To Sab Mile Humse Pyar K Saath
Hum Kisi Se Na Mile Tumse Mulaqat K Baad
Itni Mazboti Se Dil K Darr Band Kiye Hum Ne
Dil Mein Utri Na Koi Zaat Teri Zaat K Baad
ae humsafar tujhe kya khabar teri raah guzar meri sajda gaah...

teri ik nazar meri zindgi,teri be-rukhi meri mout hai...
Ajab rishta hai meray or us k darmyan

Mian us ka kuch b nahi or wo mera sub kuch hai
Qurbat ki teri pyas hai Waisey to theek hoon
Ek dard Dil k paas hai Waisey to theek hoon
Dekha jo chand ko to koi yaad aa gaya
So Dil mera udas hai Waisey to theek hoon
Tu mujh ko apni Zaat se bahar nahin mila
Ye dukh bhara qyas hai Waisey to theek hoon
Gr ho na kuch umeed to ho jaoon pur sukoon
Ek be wajah si aas hai Waisey to theek hoon
Asman ko neend aye to sulaye kaha

dharti ko maut aye to dafnaye kaha

sagar mein leher aye to chupaye kaha

hamein apki yaad aye to jaye kaha...;->
Tera Mujh Pay Ikhtiar Baqi Hay
Deikho Kaisa Hisar Baqi Hay

Koi Chala Gia Phir B
Dil Rastay Pay Ghubar Baqi Hay

Ye Khowab Hay Ya Ehad Koi
Jis Ka Muj Pay Bar Baqi Hay

Aankh Mien Dhoaan Sa Rehta Hay
Aag Ki Koi Pukar Baqi Hay

Zindagi Ki Kari Piaas Mien
SameerAur Kis Ka Intizar Baqi Hay
Pukara nahi hai us ne kaye roz se mujhe

Shayad usay b meri zarorat nahi rahi

Bas yunhi us k zikar ne afsurda kar dia

ye b nhi k us se muhabat nhi rahi
Ye Jo Mosam Hai Guzer Jaye Ga
Dil Uske Baad Shayad Behal Jaye ga
Uski Bewafai Per Matem Kyun Kerain
Mujhko Malom Tha Wo Ek Roz Badal jaye Ga
hr bar muqaddar ko dosh deina achi baat nhi"dost''

kbhi kbhi hum b hadd sy zayada maang laity hain.
mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.
dakhain pahle kon ata hai donon ka intzaar hai.
Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo Badalti Khuwahishain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain

Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai

So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai