w SMS Messages18904 messages

kya khabar thi wo humien daagh_e_judai deingey
hum zamaney mein shab_e_gham ki duhai deingey

pehley tum apni wafaoon ko koi rang toh doh
khud naye rastey ankhoon ko dikhai deingey

apne andar ke gali kuchoon se guzro aik din
tere kanoon ke shor sunai deingey

hum badal deingey baharoon ke puraney andaaz
perhan ab ke har aik gull ko hinai deingey

apney mazi ko na dekhiengey palat kar
gham ki zanjeer se iss dil ko rehai deingey!!
Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash,

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, Jam Ghaton Ki Kashmakash...
teri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha
ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya

kon suney faryaad kissi ki kon kissi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!
rooh mujh se bichar jane ko hai
wafa-e-muhabbat rakh ho jane ko hai
Jo mere dil se jur kar meri zaat mein raha
woh bandhan pal mein toot jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raaste socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai
wo Sath Tha To Zamana Tha HumSafar Mera
Magar Ab Koi Nhi Mere Sath Ussay Kah Na

Ussay Kah Na K Bin Usske Din Nhi Katta
Sisik Sisik K Katti Hai Raat Ussay Kah Na

Ussay Pukaraoun K Khud Hi Poanch Jaoun Uske Pass
Nhi Rahe wo Halat Ussay Kah Na

Her Jeet Uske Naam Kar Raha Hon "SaaMer"
Main Manta Hon Apni HAAR Ussay Kah Na
Shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
Guzra kal tha peeche, aaj samne hamare
Hum kabhi to kharay thay
Jaane kis kinaray
Khafa huay tum, zindigaani se hum haaray ..

Is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
Bheegi baarish main kharay thay
Kaali raat ke thay nazaare....
BATAOO KAYSA LAGTA HAI???????
.
Ksi Veeran Rastay Pay,
Ksi Anjan Rastay Pay,
Ksi Ka Saath Mil Jana,
Khushi K Phool Khil Jana,
.
.
BATAOO KAYSA LAGTA HAI???????
.
OR us k baad phir Ek Din,
Ksi Ka you Bichar Jana,
Sabi Rangoo ka Mit Jana,
woh Band Muthi Main,
Faqt Kuch Rayt Rah Jana,
.
.
BATAOO KAYSA LAGTA HAI????
suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
Humain hasrat nahi tumharay in charagon ki,
hum woh hain jinkay dil loo diya kartay hain!
mai aksr thak sa jata hu
musalsal sochty tumko
k meri zindagi khali tumhary bin
khud b adhuri c
teri khawhish ki shidat ko sambhaly jab main
be''sudh ho kr gir jata hu bistar pe
to aansu aankh se,
aur dil se
shikway phoot party hain
gilay khud se,
Khuda se
aur tumse karta hu,
muje kyu is qadar
tum yaad aaty ho?
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha