BATAOO KAYSA LAGTA HAI?

BATAOO KAYSA LAGTA HAI?
BATAOO KAYSA LAGTA HAI???????
.
Ksi Veeran Rastay Pay,
Ksi Anjan Rastay Pay,
Ksi Ka Saath Mil Jana,
Khushi K Phool Khil Jana,
.
.
BATAOO KAYSA LAGTA HAI???????
.
OR us k baad phir Ek Din,
Ksi Ka you Bichar Jana,
Sabi Rangoo ka Mit Jana,
Woh Band Muthi Main,
Faqt Kuch Rayt Rah Jana,
.
.
BATAOO KAYSA LAGTA HAI????
  

Jun, 05 2010     330 chars (3 sms)     2234 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi Kisi Se Zikar-E-Judai Mat Kerna
Iss Dil Ki Kabhi Ruswai Mat Kerna
Jab Dil Uth Jaye Hum Se To bata Dena
Na Bata ker Bewafai Mat Kerna
Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi
Bin Tery Shehr Ka Shehr Weran Rehta Hai.

Bichar Kr Tuj Sy Hr Rasta Sunsan Rehta Hai.

Wo Tujhy Tujh Sy Ziada Pyar Krta Hai.

Jo Tery Samnay Aksr Anjan Rehta Hai.
Tumhare Bagair Tumhare Sung Rehne Laga Hoon

Khud Ko Kuch Is Terha Se Saza Dene Laga Hoon

Pathar Ki Terha Se Hoon Kabhi Ye Gumaan Bhi Tha

Zard Patto’n Ki Terha Se Roz Bikherne Laga Hoon

Kaash Mujhe Bhi Maire Hissay Ka Pyar Mil Jaye

Isi Aas Par Ab Man Yahan Jeenay Laga Hoon

Koi Nahi Marta Kisi K Bagair Kabhi Ye Kaha Tha

Din Raat Ye Hi Soch Ker Ab Marne Laga Hoon

Tum Ne Kaha Tha Koi Juda Nahi Ker Sakta Humain

Ab Ye Hi Dua Main Bhi Kerne Laga Hoon
Bik Raha Tha Waqt k Bazaar
Mein Meri Ghairat Ka Lahuu

Mudd k Jo Dekha Tou Apna
Hii Dost Kharidaar Nikla ...
tu mujhe chor ke gaya tu yaqeen aya.

koi bhi zarori nai sanso ki siwa.
Pyaas Aaysi K P Jaoon Ankhain Uski
Naseeb Aaysa K Mayesar Zehar Bhi Nhi...
Itna Toota Hoon k choone se Bikhar jaonga





Ab Agar aur Dua Doge To marr jaonga
Najane Kion Dil Laga Lete Hain Laug
Khud Ko Yuun Hi Saza Dete Hain Laug
Jab Koi Pass Ho To Kadar Nahin Karte
Door Koi Chala Jaey To Sada Dete Hain Laug
Jab Mil Jaey Safar Main Naya Hum-Safar Koi
Per Kion Purani Rafaqat Ko Bhula Dete Hain Laug
Gham Bhi Dete Hain Or Kehte Hain Bhool Jao
Hamari Chahat Ka Ye Sila Dete Hain Laog
Kiya kabhi TU nay
yeh bi socha hai
kay…!!!
RAAT kay Aakhari peher main
koi...!!!
NUM Aankhon say
LARAZTAY Honto’on say
Apney Haath Phailaaye
TUJH ko "KHUDA" say maang raha ho ga...!!!
tum apni khudi ke pehre main
aur daam e guroor mai jakre huai
hum apne zou''m ke narghe mai
anaa haath hamara pakre huai
dosti yakin pe tiki hoti hai,
ye diwar badi mushkil se khadi hoti hai,
kabhi fursat mile to padhna kitab risto ki,
dosti khoon ke risto se badi hoti hai