w SMS Messages18904 messages

Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.
Hum ney khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz main mukhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan main to tum ho k nidhaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december main.Baarishon main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Nadiyon Se Kinare Chhut Jaate Hai,
Aasman Se Tare Toot Jaate Hai,
Zindagi Ki Raah Me Aksar Aisa Hota Hai
Jinhe Hum Dilse Chahte Hai wahi Humse Rooth Jaate Hai..
Bekhudi Si Kya Hai, Har Lamha Thehra Hai,
Kitni Muddatse Koi Khwab Na Dekha Hai..
Ye Nazrein Tumhari Barsaye Behoshiyan,
Is Bekhudime Hum Bhul Jaye Do Jahan...
Bhid Mein Tanha Hai, Khudpe Hum Hairan Hai,
Bewajah Muskuraye Dil Deewana Mera..
Mitne Lagi Hai Ab Sari Majburiyan,
Ab Tum Bhi Mita Do Dil Se Dil Ki Duriyan...
Vo bulian to kya tamasha ho
Ham na jaian to kya tamasha ho
Ye kinaroo sy khailny waly
Doob jaian to kya tamasha ho
Kaanch ko chaahat thi patthar ko pane ki,
ik baar phir tutkar bikhar jane ki,
bas itni si chahat thi us diwane ki,
apn tukdo me uski tasveer sajane ki.
wafa Ka jo Ehad Humne Kia wo Tor Mat Dena
Suno Haalat Kuch Bhi Hoon Chorh Mat Dena
Humare Paas Reh Jaye Bas Yaado''n K Sarmaya
Humari Chahat Ko Aisa Mor Mat Dena
Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kia

woh kon Hai zalim, Jisne tera yeh haal kia

Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai

woh nikli bewafa bus itni si baat hai...
Jab Seenay K Ander
Saans k darya doltey hain
Jab sard hawa main mausam
Chup si gholty hain
Jub aansu palkai''n roltey hain
Jab sab awaizai''n apne apne bister par so jati hain
Tub ahesta ahesta ankhai''n kholtey hain

DUKH BOLTEY HAIN
HAAN!!
DUKH BOLTEY HAIN. . .
Kaise wo laut aaye k fursat ussey nahi
Dunya samajh rahi hai mohabbat ussey nahi

Lagta hai aa chuki hai kami uss ki chah main
Kaafi dino''n se mujh se shikayat ussey nahi

Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
Jazbo''n ki barishon ki jo aadat ussey nahi

Har cheez ikhtiar main rakhta hai wo magar
Dil se rihayi paney pe qudrat ussey nahi..!

Zindagi! ab tou ta''aluq ki ye hi surat hai
Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum
Humare Dar pe Aaye Ho
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne
K Tum Bin Reh Nahi Sakte
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte
Kaha Tum Se Kis Ne k
Hum Tum Bin Bohat Roye
Kai Raato''n Ko Na Soye
Suno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se
Agar
Beetay Huey Lamho''n Ko
Tumne wapis Lana Hai
Humari Zindagi ain Humain
wapis Bulana Hai
Mujhe Afsos Hai Jana''n
K Tum Mayoos Lauto Ge
Agar Tum Jan''na Chaho K Aisa
Kion Kia Hum Ne
Ye Gham Seh Lia Hum Ne
TOU SUNO GAU SE JANA''N
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat
Tor Di Hum Ne

"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . . .