sheher SMS Messages35 messages

ApniAankhon K Sabhi Ashk Baha Ker Sona
Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujha Ker Sona

Ek Sitara Bhi Mere Khyaal Ka Baqi Na Rahe
Chaandni Shab K Nishanat Mita Ker Sona

Darr Lagta Hy Neend Hii Kahin Cheen Na Le
Tera Har Roz Mere Khwabo''n Main Aa Ker Sona

Baad Main Tou Log Gira Denge Koi Baat Nahi
Har Tara Pyar Ki Deewar Utha K Sona

Subha Hote Hii Tere sheher Se Jana Hy Mjhe
Aaj Ki Raat Zara Mujh Ko Mana Ker Sona
Wo Jin Ka Pyar Tha Nazro''n Ki Kainat Kbhi

Qareeb Aa Ker Wo Hi Dil Ka sheher Luut Gaye

Kahan Kahan Se Samaite Ga Wo Humain Mohsin

K Hum Tou Aaeney Ki Trha Tuut Phoot Gaye ...
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko
AAS
ajnabi sheher hai
Ajnabi log hain
Phir bhi main chul raha hoon
Is Aas main
Ke
Koi to apna ho ga
Koi to payara ho ga
Tum chaho tou

Aaj bhi hum

Apni saanso''n ka sheher

Tumhei''n sonp de''n

Sirf !!!

Beeti huii chahato''n k ewaz ... !!!
sheher-E-Khayal-O-Khuwab Mein Abad Ho Gaya,

Itna Usay Parha Ke Mujhay Yaad Ho Gaya,,

Main Aaj Tak Hoon Jis Ke Fareeb-O-Hisar Main,

Wo Aur Hi Kisi Ka Mere Bad Ho Gaya,,

Aandhi Hawa Ka Saath Nibhanay Ke Shok Mein,

Koi Tabah Hua'' Koi Barbad Ho Gaya,,

Apni To Sari Umr Aseeri Mein Kat Gayi,

Jis Ne Bhi Haar Maan Li'' Azaad Ho Gaya,,

Pehlay To Paaniyon Se Rahi Guftagu Meri,

Phir Youn Hua Ke Aaina Eejaad Ho Gaya . . . /
''Faraz Aaj sheher-e-Ishq Bhi Hay Mohabbat Say Khaali

Wah Wah

Faraz Aaj sheher-e-Ishq Bhi Hay Mohabbat Say Khaali
:
:
:
:
:
Kameez Teri Kaali Tay Sohnay Phulla Wali:-)''
There is a ruler named Aman Singh who is a playboy. He decides to have only women in his city and that too, under the name "Shanti Devi."

To bolo Aman Singh ke city ka anthem kya hai?!

-


Socho, socho!!

-
-Nahin pata... arey zor daalo na!

-
-
"yeh sheher hai AMAN ka... yahan ki fiza hai nirali... yahan pe sab SHANTI SHANTI hai"
Karachi girl to boy

"khwahish hai tumse milne ki per ho mumkin kis tarah,
Na sheher me hai aman na mehfooz koi jagah,

Boy: Qaid k mazaar pe chali aa be dharrak,

Millat ka paasban hai Muhammad Ali Jinnah..!


Mera us sheher-e-adaawat mein Basera hai Faraz..
.
Jahaan Log sajdon mein bhi Lagon ka Bura chahtay hain.


@ wo baat baat pay deta hai Parindoun ki misal Faraz,,,
saaf saaf nahi kehta mera sheher hi chor do,,,