Wo Jin Ka Pyar Tha Nazro''n Ki Kainat Kbhi

Wo Jin Ka Pyar Tha Nazro''n Ki Kainat Kbhi
Wo Jin Ka Pyar Tha Nazro''n Ki Kainat Kbhi

Qareeb Aa Ker Wo Hi Dil Ka Sheher Luut Gaye

Kahan Kahan Se Samaite Ga Wo Humain Mohsin

K Hum Tou Aaeney Ki Trha Tuut Phoot Gaye ...
  

Jun, 01 2010     184 chars (2 sms)     2813 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se raaat din teray siwa kuch bhi nahi

soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis per hamari ankh ne mooti bichaye raat bhar
bheja wohi kaghaz usse hum ne likha kuch bhi nahi

ik shaaam ki dehleez per baithe rahay woh dair tak
ankhoon se keen baatain bohat moun sai kaha kuch bhi nahi

ihsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi

do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga
jub aag per kaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi
Intezar Hota hai har Sham tera
Her raat kati hai le Kar Naam Tera
kafi Dino Se Dil Main Ek Umeed Hai
Kabhi Tou Ayega Pyar Bhara Paigam Tera
"Vekh asman te urrde panchi, Na o karde rizq zakheera, na o Bhookkay marde ne,


Bandey hi karday rizq zakheera, Bandey hi bhookkay mardy nay".

"Bulleh shah
use maloom hai meri is halat ka kon hai shakhs..

Per bhi mujh se kahta hai koi parshani tu nahi.
kismat pe aitbar kis ko hay
mil jaiy khushi inkar kiss ko hay
khuch majburian hain zindgi main verna
judai say pyar kiss ko hay
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
Dil todna hamari aadat nahi,Dil hum kisi ka dukhate nahi.
Bharosa rakhna meri wafaon pe,Dil me basa ke hum kisi ko
Bhulate nahi..
Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho

Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho

Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho

Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho

Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho.
Kaash Koi Samjha Daita ...


Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain


Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain


Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
Her Raat Ek Naam Yaad Aata hai
Kabhi Subha Kabhi Shaam Yaad Aata
Sochta Hoon Mein Ker Lon Dosri Mohabbat
Phir Pehli Mohabbat Ka Anjam Yaad Aata Hai
wisl ho ya firaq ho mohsin,

jagna sari rat mushkil hi..
shajar tab hi lagana jab zameenon ko parakh lena"MOHSIN"

har ek mitti ki fitrat mein wafadari nahi hoti....