samandar SMS Messages69 messages

na jany samandar ki leher kinary se
tukra kar wapis kyu ajatai ha
samjh mai nahi aaata k wo kinary se
bewafai karti ha ya lot kar samndar se
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker

Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar

samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta.
Eik Eik Pather Jor Kar Main Nai Jo Dewar Banaie Hai.
Jankhon Ous k Pechie Tou Ruswaie Hie Ruswaie Hai.
Youn Lagta Hai Sote Jagte Auron Ka Mutaaj Hon.
Aakehn Meri Apnie Haien Per In main Neend parie Hai.
Dekh Rahe Haien Herat Say Sub Nele Nele Pani Ko.
Pochie Kon samandar Say K Tuj main Kitnie Gehraie Hai.
Aaj Hoa Maloom Mujehe is Sher K chand Sauoun say.
Apni Raha Badalte Rehna Sab say Bari Danie Hai.
Tor Gaeie Pehmanie WAFA is dor dor main kesie kesie LOG.
Yee mat Soch K REHAN bus Eik Yaar hie Tera Harjaie Hai.
Ishq kay samandar may tou hum bhi doob jaen
FARAZ.....!








Shart ye hai kay Titanic wali lrki sath ho....!

!¡!¡!¡!¡!¡!¡!¡!¡!¡!¡!¡!

Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
Umar K samandar Me

Roshni Ki Khwaish Me

Waqt k Sitare Hyn

Jis Khuda Ne Ye Dhart

Ye Falak Sanware Hyn

Us Se Iltija Hy Ye

Aur Meri Dua Hy Ye

Wo Aap Ki Qismat Me

ILM Ki Rida Likh De

WAQT Ki Ada Likh De

PYAR Be-panah Likh De

MAA Ki Dua Likh De

Aur Apni RAZA Likh De

~ Aameen~
Pholon Ko Jis Trha Bhanwre Milte Hyn
Aao Is "EID" Pe Hum B Kahin Milte Hyn
Apni Is Chahat Ko
Pyar Bari Rafaqat Ko
Sachi Lagan Ka Rang Dete Hyn,
Dunia K Liye Apni Mohbat Ko Misal Krte Hyn
Rawani K Liye Jese Darya samandar Me Khud Ko Pamal Krte Hyn
Phool Jese Gulshan Se Wafa Nibane Hr Bar Nikalte Hyn
Aao Is EID pe Hum B Kahin Milte Hyn ...
PHOOL Khil Kar UDAS Hai,

samandar Ko Aaj Pani Ki Pyas Hai.

EK Bar Aap MUSKURA Do,

Kyunki KHUDA Ko DUNIYA Ki

SABSE ''KHUBSURAT'' HASI Ki TALASH HAI
Latest News On GeO. . .


"Mushta''el Afraad Ne Karachi Main . . .









samandar Main Aag Laga Di "



GeO Ab Lambi Lambi Chorh Kr GeO . . . ;->
Ankhon nay kaha
Mohabbat ansoo ka samandar hai
jo kisse kay intezar may khamoshi say
behta hai

Dil nay kaha
Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai
kay aakhire
waqt bhee Izhar na kiya jay

Naseeb nay kaha
Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai
Aur jiss kay Dil may Mohabbat nahin
Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai

Nafrat nay kaha
Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai
samandar nay kaha
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai

Jiss may chahat jessa anmol moti mojood hai

Baadal nay kaha
Mohabbat eik ~dhanak hai
Jiss may har Rang Nomaya hota hai...

Shairr nay kaha
Mohabbat eik esse ghazal hai
Jo har eik sunay walay kay dil may
uttar te chali jate hai

Saaz nay kaha
Mohabbat eik essa geet hai
Jo Dil may uttar jata hai

Malee nay kaha
Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai
Jiss may sara
gulshan mehak uttah h
Yeh Ansoo

Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo ,
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo,
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo ,
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo.... !!