Farq sirf itna sa hai, US ki doli uthi meri maiyat uthi,
phool US per bhi they, phool mujh per bhi they,
mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the,
Un ka hansna wahan, in ka
rona yahan,
sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they,
Do qul US k perhey, do qul mere perhey,
Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha,
WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya,
WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya,
Farq sirf itna sa hai usey APNAYA gaya, mujhe DAFNAYA gaya