Farq sirf itna sa hai

Farq sirf itna sa hai
Farq sirf itna sa hai, US ki doli uthi meri maiyat uthi,
phool US per bhi they, phool mujh per bhi they,
mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the,
Un ka hansna wahan, in ka rona yahan,
sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they,
Do qul US k perhey, do qul mere perhey,
Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha,
WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya,
WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya,
Farq sirf itna sa hai usey APNAYA gaya, mujhe DAFNAYA gaya
  

May, 27 2010     450 chars (3 sms)     2977 views       Romantic

more Romantic SMS Messages

Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi..
ua jaane kya khabar kiski lagi nazar, waadon ko chhod ke, kasmo ko tod ke wo kya bichad gayi, duniya ujad gayi, deepak hai low nahi, main to hu bus wo nahi, wo nahi…
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay

Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay

Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay

Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay

Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi IMRAN Ko Kam Numa Sa Lagay
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,

Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena
In life luv is neither planned nor does it happen 4 a reason
but when d luv is real
it becums ur plan 4 life
n reason 4 living..!
Mehfil me hasna to mera mizaz ban gaya,
tanhai me rona ek raaz ban gaya.
Dil ke dard ko chere se zahir na hone diya,
yahi zindagi jine ka andaz ban gaya.
Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho ?
Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho

Kuch Chanchal Se , Kuch Chup Chup Se
Kuch Pagal Pagal Lagtey Ho

Hain Chahney Waaley Aur Buhut Par
Tum Mein Hai Aik Baat Bohat.......
Tum Apney Apney Lagtey Ho

Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Yeh Baat Baat Pe Kaho Jaana
Kuch Kehtey Kehtey Ruk Jaana

Yeh Kis Uljhan Mein Rehtey Ho....?
Kiya Baat Hai Hum Se Keh Daalo

Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho ?
Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho
Khud Ko Phone laga ke Kabhi Dekha hai?
Engage Tone ayega.
Niyamo ka Lekha hai.
Duniya Se Milne Me Sab Mast He,
Khud Se Milne Ki Sari line vyast hai.
Ek teri yaadon ke siwa aur koi sahara nahin
Tujhey bhool ke zinda rahoon dil ko yeh gawara nahi
Ya khuda teri ibadat mein dil lagawoon kaisey
Yeh jaan bhi unki hai, dil bhi ab hamara nahi
Gunah humsey ho sar zad to khuda maaf karey
Qatha ho ishq mein is ka koi kaffara nahi
Loon kiska naam, kisney ujaada hai mujhey
Wafawon ney jaan baqshi hai, jafawon ne maara nahi
Meri udaasiyon mein khudaayi bhi hai shaamil
Chaand bhi na nikla, aasmaan pe koi taara nahi
Doobey hain ghumon mein tho raaz yeh paaya
Yeh woh samundar hai ilyas jiska koi kinaara nahi
meri rusvai my shareek ha barabr ka tu
mery kissy mery yaroo ko sunato kya ha
pass reh kr b na pehchan ska tu muj ko...............
door sy dekh kr ab hath ko hellata kya ha
ma tera kuch b nai mgr itna to bta
dekh kr mujy tery zehan my ata kya ha!!!!!!!!!!!!!
Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehar Se Shaam Se Pehle
Yahi Aik Kaam Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai,
Tumhe Ko Yaad Karna Hai

Ke Jab Bhe Dard Pena Hai
Ke Jab Bhe Zakham Sehna Hai
Gham -e-Duniya Se ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai

Tumara Naam Lena Hai
Tum He Ko Yaad Karna Hai
Tumari Yaad Hai Dil Mein,
Aik Sayaad Hai Dil Mein
Khoi Barbad Hai Dil Mein,
issay Abad Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai
Tumai Ko Yaad Karna Hai....
Koi raat mere ashna mujhe youn b to naseeb ho
Na khyal ho libas ka wo itna mere qareeb ho

Badan ki garam aanch se meri aarzu ko aag de
Mera josh b behak uthay mera haal b ajeeb ho

Teray chashni wajood ka main sara rass nichor loon
Phir tu he mera marz ho phir tu he mera tabeeb ho