phool SMS Messages388 messages

Bichra hai Jo aik baar Tu milte nahi daikha
iss zakhm ko hum nai kabi Silte nahi daikha

ik baar jise chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir Shaakh pe iss phool ko khilte nahi daikha

aik paid Gira hai Tu Jarain tak nikal aayein
Jiss paid ko aandhi main b hilte nahi daikha

Kantoon main giray phool ko Choomay Ge Laiken
Titli k paron ko kabi Chiltay nahi daikha

Kiss Tarah mere Rooh harri kar gaya aakhir “N“
woh Zehar jisse jism main khulte nahi daikha..
Shayad Ye SACH Hy

K Bicharne Se Koi Marta Nhi

Lekin Ek Din

Maine phool Ki Tehni Ko Juda Kia Tou

phool Chand Saanio''n Main Murjha Kar Dum Tor Gya

Tab Maine Jana K Agar Jazbe Sache-o-Belaus Hon Tou

Bicherne Se Koi Bhi Marr Sakta Hy. . .
Tere Siwa KHUDA Ne Bohat Kuch aata Kia
Tujhko Na-Jane Kis Liye Mujhse Juda Kia
Wo Zindagi Jo phool Se Zada Haseen Thi
Teri Talab Mein Humne Usey Bhi Khafa Kia
phoolm ko itna mat Sajaana,

phool murjha B jate Hain,

AinaY ki Ada mat Apnaana,

Aaine fana B ho jate hain,

kisi ko Toot kr Mat chahna,

LOG B''wafa B ho jate Hain,
Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
dst-e-katil bhi mjhy dast-e-hina lgta tha
Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
han wo shaks mohabt ka khuda lgta tha
kanton bhari shakh nazar ata tha kabi
phool lgta tha kabi bad-e-saba lgta tha
ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
main jisy sare zamany sy bura lgta tha
us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha
Jab Badlon Ki Gehrai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Jab Zindagi Ki Sachai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Gulshano Gulistan Mai Jab Mere Qadam Paray
Har phool Ki Ranai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Apne Mile Bohat Aur Mil Kar Woh Phir Bichar Gaye
Apno Ki Is Wafa Mai Dekha To Chehra Tera

Khoone Jigar Se Ki Hai Ye Dastan Maine Raqam
Aur Aisi Roshnai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Aik Zara Si Ghalti Se Shaak Ki Zard Tehni Pe
phool Badgumani K Iss Tarah Se Khilte Hain
Zindagi Se Pyare Log Bhi Phir?
Ajnabi Se Lagte Hain
Na To Gham ki DhooP Jala SaQi,Yeh To mosam ka Asar Hova.


Wohi mera WAFA ka He phool Tha,jo Abi Tk hY Khila Hova.
~*~ Phir Yaad Aane Lage ~*~



Muddato''n Baad Dekha Unhai''n,
Hosh Kaise Thikaane Lage

Ashk Palko''n Pe Aaye Meri
Aur Lab Thar-tharane Lage

Jaane Ksei Hawa Chali
phool Phir Muskurane Lage

Jin Ko Mushkil Se Bhoolay Thay Hum
Phir Wohi Yaad Aane Lage
Aisi Hawa Chali Sab phool Jal gaye
Sab Se aziz Log B Kitne Badal Gaye
Uss Ke Begair Kis Ko jeenay Ka Guman Tha
Hum Khud B Sochte Hain K Kese Sanbhal Gaye
Bol Na Bol Ay Jane Wale Sun To Le Diwano Ki
AB Nahi Dekhi Jati Hamse Ye Halat Armano Ki
Husn K Khilte phool hamesha Bedardon K Hath Lage
Aur Chahat K matwalon Ko Dhool Mili Weerano Ki
Dil K Nazdeek Nazuk Jazbon Per Raaj Hai Sone Chandi Ka
Ye Duniya Kia Qemat Degi Sada Dil Insano Ki
Us ki Bataein rothi rothi
Jis ka Lehja metha metha hei

Us ki Ankh samundar jaisi
jis ki Zaat mei sehra hai

Raat say Gehri soche us ki
Jis ka Rang Sunhera hai

phool or Kaliyan Chunney wala
khud kion Bikhra Bikhra hai

Chand se Baatein karnay wala
Dekho kitna TANHA hai......