phool SMS Messages388 messages

Mujh Se Bichro Gi Tu
Badnaam Ho Jao Gi.
Saudagaron K Haathon
Nelaam Ho Jao Gi.

Main Sari Raat Haathon
Me phool Liay Betha Raha,
Mujhe Ye Khabar Na Thi
K Ek Din Bewafa Ho Jao
Gi.

Ye Mohabbat Ka Khail
Tumhary Bus Me Nahi.
Agar Khailo Gi Tu Yun
Hi Haar Jao Gi.

Kaantay Thay Meri Raah
Me Har Dam.
Agar Main Chalon Tu
Tum Khafa Ho Jao Gi.

Ek Din Faaqeer Rotay
Rotay Ye Keh Gaya
Zafar ko.
Jis Se Tum Pyar Karty
Ho Wo Aik Din Bewafa
Ho jayGi.

¤KinG Of SmS¤007
Uski Batein To phool Hon Jaise
Baki Batein Babool Hon Jaise

Choti Choti Si Uski Do Ankhen
Do Chameli Ke phool Hon Jese

Uska Hass Kar Nazar Jhuka Lena
Sari Shartein Kabool Hon Jaise

Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi
Sari Batein Fezool Hon Jaise

Uski Batein To phool Hon Jaise
Baki Batein Babool Hon Jaise.
Tumharay naam likhta hoon....!!

Tumharay naam likhta hoon...!!
Tumhare naam likhta hun,
Muhabbat aur khusboo ke,
Wafaon ke massarat ke,
Dhadakte dil ke wo nagme,
Jo insano ki dharti par,
Har eek mausam me gaye hain !

Tumhare naam likhta hun,
Akhuwat aur ulfat ke,
Sadakat aur azmat ke,
Wo phoolon jaise afsane,
Jo iss duniyan me logon ne,
Sune hain aur sunaye hain !
Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
Kabhi Mujh Ko Saath Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Kar
Woh Badal Gaye Achaanak Meri Zindagi Badal Kar

Huye Jis Pey Meharaban Tum Koi Khush Nasib Hoga
Meri Hasaratein To Nikalin Mere Ansuuon Mein Dhal Ke

Teri Zulf-O-Rukh Kay Qurban Dil-E-Zaar Dhuundhata Hai
Wahi Champai Ujaale Wahi Suramai Dhundalake

Koi phool Bun Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara
Joh Chiraag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke

Mere Dosto Khudara Mere Saath Tum Bhi Dhuundo
Woh Yahin Kahin Chhupey Hain Mere Ghum Kaa Rukh Badal Kay

Teri Bejhijhak Hansi Say Na Kisi Kaa Dil Ho Mailaa
Yeh Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan Saans Le Sambhal Ke
Hum bhi mohabbat karke gunehgar ho gaye
pehle phool the abk khak ho gaye,

jab se dekha hai tumhare hasin chehre ko,
hum bhi tumhari chahat k talabgar ho gaye.
Its A Voice Of Father

~*~ Umar Bhar Jis phool Ki Main Ne Parwarish Ki ~*~


~*~ Jab Khushbuu k Qaabil Hua Tou Ghairo'n ko De Dia ~*~
Rut Haseen Ayi Kesi

Aayaa Jub Wo Pardesi

Muskura Diya Jeevan

phool Khil Rahay Aangan

Saanvli Si Larki Nay

Piyaar Paa Liya Aapnaa

Jo Sajaya Thaa Uss Nay

Such Hoova Wohi Sapna

Khud Pay Naaz Karti Thii

Sanvlii Si Aik Larki
Bohat Khubso0rat Hy Ye Dua Hamari
phoolon Ki Tarha Mehky Ye Zindagi Tumhari
Muje Kya Chahiye Or Zindagi Me
Kabhi Khatam Na Ho Bas Ye Dosti Hamari....
AHL-E-DIL Youn bhi nibah lete hain,

Dard seene mein chupa lete hein,

Dil ki mehfil main ujaalon k liye,

Yaad ki shama jala let hain,

Jalte mausum main bhi ye DEEWANE,

Kuch haseen phool khila lete hain,

Apni aankhon ko bana kar ye zubaan,

Kitne afsane suna lete hain,

Jin ko jeena hai Mohabbat k liye,

Apni hasti ko mita lete hain,

AHL-E-DIL youn bhi nibah lete hain,

Dard seene main chupa lete hain...
Kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main app ka aqs bhi tha,
kal badal gehray kaale the,
Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke,
Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the…..
Kal yaad buhat tum aye the…..
Aae Umr-E-Rawaan Aahsta Chal
Abhi Khasa Karz Chukana Hae,

Kuch Khuwaab Hain Jin Ko Likhna Hae,
Aur Tabeer Ki Surat Deni Hae,

Kuch Log Hain Ujrey Dil Waley,
Jinhain Apni Muhabbat Deni Hai,

Kuch phool Hae Jin Ko Chunna Hae Aur Haar Ki Surat Deni Hae,

Kuch Apni Neendain Baaqi Hain,
Jinhain Bantna Hai Kuch Logo Mae,:Aur Un Ko Rahat Deni Hae,

:Aae Umr-E-Rawan Aahista Chal,

Abhi Khaasa Karz Chukana Hae....!!!!