kuch SMS Messages1498 messages

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main*
manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
nafrat hi pehr e daar mili har makaam par
jis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
ham baargah e ishq main maqbool youn hue
khud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheer
niklay thay ghar se ik musarrat k shauq main
apnay chaman se raabta bilkul nahi raha
sehra norad ho gaey daulat k shauq main

daaman main hasraton k siwa kuch nahi
aisay lutay hain ham teri chahat k shauq main
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
Eay Subah main ab kaha raha hon?Khawabon main hi surf ho chuka hon.Kya hai jo badal gai hai dunia.Mina bhi to bohat badal gya hon.Main jurm ka eatraaf ker k kuch aour hai jo chupa gya hon.main aur faqt ussi ki khawahish ekhlaaq main jhoot bolta hon.Roya hon to apney doston main. Par tujsay to huns ker hi mila hon...Eay shakhs...!Main teri justajoo say bezaar nahin hon. Thak gya hooooon.
Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.
Wafa Ka jo Ehad Humne Kia Wo Tor Mat Dena
Suno Haalat kuch Bhi Hoon Chorh Mat Dena
Humare Paas Reh Jaye Bas Yaado''n K Sarmaya
Humari Chahat Ko Aisa Mor Mat Dena
kuch khawab hain jin ko likhna hai..

Taabeer ki sorat daini hai..

kuch loug hain ujray dil walay..

Jinhain apni mohabbat daini hai..

kuch phool hain jin ko chunna hai..

Aur haar ki sorat daini hai..

kuch apni neend baki hai..

Jisay bantna hai kuch lougon mein..

Un ko bhi rahat daini hai..

Aye umer-e-rawaan ahista chal..

Abhi khasa karz chukaana hai..!
Is se pehle ki dilo me nafrat jaage,
aao ek shaam mohabbat me bita di jaye....
Karke kuch mohabbat ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye
Jab piyaar ki baat adhori hoo
Jab beech mien thori doori hoo
Jab milna bhoat zrori ho
Par milnay mien majboori hoo
Tum dil mien yaad jaga laina
kuch piyaar kay deep jala laina
Jab mujh say milnay aa na sako
aur yaad say bahir jaa na sako
Thora dil ko samjha laina
Bus yaad say dil behla laina
Baithe-Baithe jindgi barbad na kijiye. Jindgi milti hai kuchh kar
dikhane k liye. Roke agar aasman hamare raste ko. To taiyar ho jao aasman
jhukane k liye.
Kaash hame bhi koi samjhane vaala hota to aaj hum nasamajh naa hote kaash koi prem ki pyali pilane waala hota to aaj hum sharaabi naa hote kaash koi hum par jaan fida karne waala hota to aaj hum kaatil naa hote kaash koi hamare saath ghar basane waala hota to aaj hum beghar naa hote kaash koi hamare saath doosti karna wala hotatoo ajj beghar dooost ka na hota kaash kuch hamaree bhi maqsad hote too ajj hmm beghar maqsad ka na hota shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai nahi to aaj hum shaayar naa hote