kuch SMS Messages1498 messages

"CHAND SY BATEN"

Pichly pehr ki raat thi Tanhai or teri yaad thi.

Chand ny mujh sy kaha kon haiMeny Kaha koi 7 nahi.

Bola zindagi kesi haiMeny kaha koi khaas nahi.

Bola phir kya chahti hoMeny kaha koi aas nahi.

Bola tum ny pyar kiya haiMeny kaha kuch yaad nahi.

Bola tumhary 7 bhi dhoka hua hai
Meny kaha koi aisi baat nahi.

Bola aik baat kahoon
Meny kaha koi aitraaz nahi.
Bola too ny bhi pyar kiya hai aur wo tery 7 nahi..
kya ajab shaks hai kuch bhed hi nahin khulte uske
jab bhi dekhoon usse duniya se khafa hi dekhoon
Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
Zindagi door rakhte hai satanay k liye


MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye



In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye



Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein rulanay k liye


Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khail tha ho aag se jal janay k liye



Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zindagi, mar janay k liye
Apni khushiyan luta kar tujh pe kurban ho jaon,

kash kuch din tery shehr main mehman ho jaon,

Tu apna nayab DIL mujh ko de day aur phir mangay,

Main mukar jaon aur bey-imaan ho jaon,

Tu mujh pe sitam karay har kisi ki tarha,

Main teri is ada par b meharban ho jaon,

Tu mery paon k nichay se zameen

kheench layaur main tera aasman ho jaon

Tu mujhse door door bhagti phiray,

Khuda koi mujzaa karey aur main tera NAAM ho jaon...

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
Pyar K Deep Jalane Wale kuch kuch Pagal Hote Hain
Apni Jaan Se Jane Waale kuch kuch Pagal Hote Hian

Hijr K Gehre Zakhm Miley Tou Mujh Ko Ye Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale kuch kuch Pagal Hote Hain

Jaan Se Pyare Logo''n Se Bhi kuch kuch Parda Lazim Hai
Saari Baat Batane Wale kuch kuch Pagal Hote Hain

Us K Ishq Main Bheeg K Hum Ko Ye Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Main Aane Wale kuch kuch Pagal Hote Hain
Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahi Karte

Kaha Maine Mohabbat Main Kabhi Socha Nahi Krte

Kaha Usne Bohat Khush-Rung Dunia k Nazare Hain

Kaha Maine Jab Tum Ho Tou Hum kuch Dekha Nahi Karte

Kaha Usne Main Tum Se Duur Hoon Lekin Tumhari Hoon

Kaha Maine k Sapne Dil Ko Behlaya Nahi Karte

Kaha Usne Tumhari Chahat Tumhain Ruswaiya''n Degi

Kaha Maine Shohrat Se Ghabraya Nahi Karte

Kaha Usne Samaj Jao, Samajh Jao Ae Maire Dost

Kaha Maine K Deewane Ko Samjhaya Nahi Karte
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri Pehchaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri Pehchaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle
Mein sochta hoon kuch uss se kahon
koi baat mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
phir sochta hon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh bhi diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aanchal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi sochta hoon koi nazam kahoon
bas jis main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
phir aksar yun bhi sochta hoon
main kuch na kahoon ye behtar hai
har zakhm chupa kar seenay main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup hii rahon ye behter hai.
Din Raat Sulagne Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai

Hum Aap Bikherne Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai

kuch Apni Tum Ko Batlayen Kia Haal Humara Hota Hai

Hum Tanha Rone Lagte Hain Jab Yaad Tumhaari Aati Hai

Ye Saansain Bhi Tham Jati Hain Ye Dhadkan Bhi Ruk Jati Hai

Hum Jeene Marne Lagte Hai Jab Yaad Tumhari Aati Hai

Jab Bhool Tumhain Hum Jate Hain Tou Khud Ko Murda Paate Hain

Hum Phir Se Jeene Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai
Agar Hum Kahain Aur Wo Muskura Dein
Hum Un K Liye Zndagi Luta Dein

Har Ek Mor Par Hum Ghamon Ko Saza Dein
Chalo Zindagi Ko Mohabbat Bana Dein

Agar Khud Ko Bhoole Tou kuch Bhi Na Bhoolay
K Chahat Main Un Ki KHUDA Ko Bhula Dein

Kabhi Gham Ki Aandhi Jinhain Choo Na Paye
Wafao’n K Hum Wo Nasheman Bana Dein

Qayamat K Deewane Kehte Hain Hum Se
Chalo Un Chehre Se Parda Hata Dein

Saza Dein Sila Dein Bana Dein Mita Dein
Magar Wo Koi Faisla Suna Dein