khon SMS Messages650 messages

Raat ki gheri khamoshi main
chupkay se dheemay se
sergoshi main
koi mujh se bola
suno!
tum wohi ho na jo raat hotay he
meri Ankhon mai utar aati ho
meri aankhon mai jugnoon ki tarha
roshan ho jati hai
ek roshan taray ki tarha
neendo main utar aati ho
tum wohi ho na?
Main boli
haan main wohi hon
Woh bola…bohut buri ho
meri neenden ura ker
khud chain se so jati ho…
ye udaas chehra ye ankhon main nami hai,,,,

mujhy aisa us ki mohabt ne kr dia....
mujhe ab b mohabat hai''

tere qadmon ki aahat se

teri har muskurahat se
teri baaton ki khushbu se.
teri aankhon k jadu se.
teri dikash adaaon se.
teri qatil jafaaon se.

''mujhe ab b mohabat hai''

teri rahon me rukhne se.
teri pulkon k jhukne se.
sehar o sham hathon pe tera hi naam likhne se.
husan-e-shama likhoon ya sarab likhoon,

hum dum likhoon,sathi likhoon ya khuwab likhoon,

tere sarapa-e-husn se heran hoon main,

mehjabeen likhon,sehe rukhi likhoon,
bewafa likhoon ya hijaab likhoon,

khatam ho jata hai zakhira-e-alfaz..

dil to kehta hai teri tareef be hisab likhoon.
kaha us ne ke shaakhon se,

judaa phoolon ko karne kii

hawaaon ki jo saazish hai ,

use achchi nahi lagti

faqat ik pal ko jii chaaha

use itna to keh doon aaj

mohabbat

phool ki in pattiyon se barrh ke

naazuk thi

jise qadmon tale is ne

kabhi ka rond daala hai
simat te paya
ek nai umang mein har baar meri aankhon ne kshitij mein sama rahe

sooraj ko nihara.........par phir subhe ki laalima mein palkon ko

bheega hua paya
shaamon-sehar bas tanhai..........aur har lamha isi soch mein beeta
is duniya ko main samajh nahi payi ya is bhari duniya mein koi

..............mujhe samajh nai paya?
Apne haathon se yun chehre ko chupate kyon ho
Mujhse sharmaate ho to saamaney aate kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-wafaa
Pyaar karte ho to phir pyaar chhupate kyon ho

Ashk aankhon main meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
Apni Aankhon Ke Samunder Main Utar Jaane De...
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De...
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko...
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay......
kiun keh......

Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!
Meri Ankhon Ke Samandar main Jalan kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tadapne Ki LaGan Kaisi Hai
Ab Kisi Chaat Pe Chiraghon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Main Guthan Kaisi Hai
Baraf Ke Roop Main dhaal Jain Ge Sare Rishte
Mujh se Poocho Ke Muhabbat Main Agan kaisi Hai
Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko na Marne Doon Ga
Musam-e-Hijar Ke lehje Main Takan Kaisi Hai
Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kanton Ki RiDa
Us Ki Majboor Si Ankhon Main Kiran Kaisi hai
Mujhe Masoom si Pagal Ladki Pe Taras aata hai
us se Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
mohabbat na samajh hoti hai samjhana zaroori hai
jo dil main hai use aankhon se kehlaana zaroori hai
usoolon per jo aanch aaye tou takraana zaroori hai
jo zainda hai tou phir zinda nazar aana zaroori hai
bohot bebaak aankhon main talluq tik nahin sakta
mohabbat main kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos kerne ka
jo kehta hai khuda hai tou nazar aana zaroori hai
Woh mil jatey hain kahani bankar
Dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon mein
Kyun nikal jatey hain wo pani bankar
Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaahon ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere bagarr tabiyat udaas rehti hai