kaha us ne ke shaakhon se,

kaha us ne ke shaakhon se,
kaha us ne ke shaakhon se,

judaa phoolon ko karne kii

hawaaon ki jo saazish hai ,

use achchi nahi lagti

faqat ik pal ko jii chaaha

use itna to keh doon aaj

mohabbat

phool ki in pattiyon se barrh ke

naazuk thi

jise qadmon tale is ne

kabhi ka rond daala hai
  

May, 27 2010     286 chars (2 sms)     2343 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Saylaab dekhta hoon to
aAta hai yeh khayaal.
.
.
Paani bhatak raha hai,
Talash e Hussain mein...

Tujhy Geet Likho''n
k
Tujhy Meet Likho''n

Ya Janam Janam Ki
Preet Likho''n

Ter Milan k Lamhy
Khwaab Likho''n

Teri Dosti Ko
Gulaab Likho''n

Ya Tujh Bin Jeena
Azaab Likho''n ...
mujhe maloom tu nahi mere sajdon ki tadad.

han yeh hai k main her sajde main roya hun.
thaka huwa hai wajood saara ye manta hon "mohsin"

magar khayalon se koi jaye to neend aaye...
Sab se chupa ker dard jo wo muskara dia,
Uski hansi ne tu aaj mujh ko rula dia.

Lehjay se uth rahi thi har ik dard ki dastan
Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia,

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,

Janay kia usko mukh se thein shikayatein
Tanhaiyon k dais mein khud ko basa dia,

Khud bhi woh hum say bichar k adhora sa ho gaya
Muj ko bhi itnay logoon mein tanha bana dia.....
Badd gumaan na ho hath uthanay say
Ham taray haq main Duaa kartay hain
Ek nakaam hasrat
Ek tishna arzo
Ek beqarar Mohabbat
Ek Pyaasi Rooh
Ek Haseen Jazba
Ek adhoori Talaash
Ek Tarasti Tamana
Ek Natamaam Khwaab
Tum koi Nam Do
Ek Pechchann do
Aainda maat anna tum kabhi bhi yaad mujhye
Tere yadoon nye ker diya bar-baad mujhye

Na duniyta ke sitaam Na qismat ki badnasibi
Kuch nahi teri muhabbat ke siwa yaad mujhye

Atte hain nazar har taraf wiranye hi wiranye
Dikhai nahi deta SHARIM koi ghar ABAD mujhye
ye udasian , ye pareshanian mera muqadar hain

dekho tum yoon na pareshan hoa karoo ...........
Na Tasweer Hai Tumhari Jo Deedar Kiya Jaye,
Na Tum Ho Pas Jo Pyar Kiya Jaye,
Yeh Kaisa Dard Diya Hai Tum Nay,
Na Kuch Kaha Jaye,
Na Tum Bin Raha Jaye.
ajeb kashmakash k raastay hain
Bari kathin yeh musafatain hain
Main jiski raahon main bujh gaya hoon
Usi ko mujh say shikayatain hain
Shikayatain sab bja hain laikin...
Main kaisay usko yaqeen dilaon?
Usay bhulaon tu mar na jaon
Main aisay khamosh imtihaan main
Kahan kahan say guzar gaya hoon
usay khabar bhi nahi hay shayad
Main dheeray dheeray bikhar gaya hoon....
Khushi Mili Lekin Hans Na Sakey,
Gham Mila Lekin Ro Na Sakey,
Zindagi Ka Yahi Dastoor Hai,
Jise Chaha Use Paa Na Sake
Jise Paya Use Chah Na Sakey..