Apni aankhon ke

Apni aankhon ke
Apni aankhon ke samandar mein utar “JANE DE”,
Tera mujrim hon mujhe doob ke mar “JANE DE”,
Aye naye dost mein samjhon ga tujhe bhi apna,
Pehlay maazi ka koi zakham to bhar “JANE DE”,
Aag Duniya ki lagai bujh jae gi,
Koi aansoo mere daman pe bikhar “JANE DE”,
Zakham kitnay teri chahat se mile han mujh ko,
Sochta ho ke kahon tujh se magar “JANE DE”
  

Jun, 01 2010     355 chars (3 sms)     2915 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jagti aankho me ek khuwab aaya,
koi humdard hai mera yeh khayal aaya.
chot lagi dil pe toh dhiyaan aaya,
kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya.
such tu yeh hai...!
sub fasane hain duniya dari kay...
kis ne kis ka sukoon loota hai,,,,,

such to yeh hai k zamane mein....

main bhi jhoota hoon...

tu bhi jhoota hai...
Jo Meray Zabt Ka Sheraza Muntashir Kar De...








Tere Sitam Ko Abhi Woh Ada Nahi Aye..!!!
Barson Mein Muhabbat Banti hai,Lamhon Mein Bhala Kia Totegi...







Tu Mujh Se Bicharna Chahay Tu DeeWar Utha Dheeray Dheeray...!!!
khushi Mali tu keye dard mujhe Se Ruth GE
dowa Karo main pher Se udaz ho jano
hay baad-e-marg bhi yaaro wohi tafreeq ka aalam...

na qabrein aik jaisi hain,na katbay aik jaisay hain...!
aj ehsas ke daman mein aansu gira ke dekhiye
pyar kitna sachcha hai dil laga ke dekhiye
aapko bhul ke kya hogi is dil ki halat
kisi aaine pe paththar gira ke dekhiye
khud ko chuntay huway din sara nikal jata hai
phir hawa shaam ki chalti hai, bikKhar jata hoon
Unhein ye Shikayat he
hum se kr?

hum har kisi ko dekh kar Muskurate hain,

Na Samajh hain Who Kiya
janey,

Humein To Har Chehrey Mien Ap Nazar Atey Hain.
Ae Dost Tera Haseen Naam Acha Lagta Hai

Teri Nisbat Se Ye Chaand Acha Lagta Hai

Log Kehte Hyn Teri Dosti Main Pagal Mujh Ko

Aur Mujhe Ye Ilzaam Acha Lagta Hai
Kadam u hi dagmaga gaya raste se
Warna sambhalna hum bhi jaante the
Thokar bhi lagi to us pathar se
Jise hum apni JAAN mante the
Ehsas bhoat hoga jb hum chale jain gey
Jb rona chaho gey to anso nae aingey.
Jb sath na de koi to awaz hamey dena.
Asman per be hongey to laut aingey.