Woh mil jatey hain kahani bankar

Woh mil jatey hain kahani bankar
Woh mil jatey hain kahani bankar
Dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon mein
Kyun nikal jatey hain wo pani bankar
Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaahon ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere bagarr tabiyat udaas rehti hai
  

May, 27 2010     296 chars (2 sms)     2713 views       Romantic

more Romantic SMS Messages

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
Larkion k haath mei mehandi achi lgti hy...
Aur
Larkon k haath me
.
.
.
.
.
.
.
.

mehandi wly haath...:-)
AJ kal ladkiyo ke kapde
yaha se less waha se less,
kabhi sleevless to kabhi backless
or koi ladka ghur k dekhe to-
"Oh How Mannerless" !!
The only regret I have is not knowing you since the day I was born
so that I will be able to spend my ENTIRE life with you.
A candle may melt and it"s fire may die,
but the love you have given me will always stay as a flame in my
heart.
If Your asking if I Need U the answer is 4Ever..
If Your askin if I"ll Leave U the answer is Never..
If Your askin what I value the Answer is U..
if Your askin if I love U the answer is I do.
Aaj ujaali ki kiran kho gayi zindagi veraan se ho gayi, gaye woh din jab humne unse umeed rakha Aaj yeh khoob ho gaya ki humain mohabbat se nafrat ho gayi
ye jo zindagy ki kitaab hai,
ye kitaab bhi kia kitaab hai,
kaheen ik haseen sa khoaab hai,
kaheen jaan lewa azab hai,
kaheen aansuon ki hai daastaan,
kaheen muskurahaton ka bayan hai,
kai chehre is mein chupe hoe,
ik ajeeb sa ye naqab hai,
kaheen kho dya , kaheen paa lia,
kaheen ro lia , kaheen gaa lia,
kaheen cheen lety hai har khushi,
kaheen meharbaan behisaab hai,
kaheen dhoop hai , kaheen or hi koi roop hai,
kaheen barkaton ki hain barishein,
kaheen tishnagy behisaab hai,
YE JO ZINDAGY KI KITAAB HAI.......

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din

Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din

Phoolon ki tarha “husn” ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din

Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din

Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din

Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din

Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
Apne haathon se yun chehre ko chupate kyon ho
Mujhse sharmaate ho to saamaney aate kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-wafaa
Pyaar karte ho to phir pyaar chhupate kyon ho

Ashk aankhon main meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon…
Khamoshi mein shor tha
Us ne kaha kuch bhi nahi

Tujh ko kya maloom aye jaane jahan tere baghair
Mera jeevan kut gaya aur main jiya kuch bhi nahi

Hukum ye humko mila uske siwa kuch mangiye
Uth gaye dast-e dua lab pe dua kuch bhi nahi

Tere khatir umar bhar ka rat jaga humko qabool
Chahatoun mein ek shab ka jagna kuch bhi nahi

Pyar se dekha mujhe lab bhi hiley us k Khalil
Dil dharak utha mera lekin hua kuch bhi nahi