Nah jane kiun mera peeccha karti hein
yadein uski essa hamesha karti hein
bholna chahoon bhi tu bhula nah paaon usse
sanson se uski muattar hawaein aaya karti hein
fizaein ithlati hein uske badan ko choo kar
subak kharami dekh ke uski samander mein lehrein utha karti hein
phool uske lab o rukhsaar ki balaein lete hein
palkein utha ke dekhey tu dilon per bijliyan gira karti hein
ab tum hi batao kesse chuppon uss se jimmi
har pal har jageh uski ankhein mujhey dekha karti hein