khon SMS Messages650 messages

(Us ne kaha)
Tum me pehli si baat nahi?
(Maine kaha)
Zindagi me ab tera sath nahi,
(Us ne kaha)
Ab bhi kisi ki aankhon me doob jate ho?
(Maine kaha)
Ab kisi ki ankhon me wo baat nahi,
(Us ne kaha)
Kya mein bewafa ho?
(Maine kaha)
Mujhe ab wafa ki talash nai
(Usne kaha)
Kyun itna toot kr chaha muje?
(Maine kaha)
Mein insan ho koi pathar zaat nai.
(Usne kaha)
Bhol jao mujhe!
(Maine kaha)
Tum haqiqat ho koi khwab nai…
KUCH TO HY TU BADAL GYA HY!
.
Wo Teri Ankhon K Khawb Sary Wo
Baten Sari Hisab Sary Sawal Sary
Jawab Sary
Wo khushain Sari
Azab Sary
Nasha Tha Jo Wo Utar Giya Hai,
.
KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI!
Jo Tery Milny Ki Arzo Thi
Jo Tujko Pany Ki Justju Thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo Teri Ankhon Main Roshni Thi
Jo Teri Baton Ki Rangini Thi
Jo Teri Sanson Ki Tazgi Thi
Jo Tery Lehjy Main Chashni Thi
Wo Sara Meetha Pighal Gaya Hai
.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY
Mudat k Baad Dekha usay Bdla Hoa Tha Wo
Najane Kiya Hadsa Hua Sehma Hua Tha Wo
Mujhy Dekh Kar Usne Chehra To Chupa Liya
Magar Ankhein Bata Rahi Thi k Roya Howa Tha Wo
Uski Ankhon Mein Dekh Kar Mehsos Hua Mujhe
Meri Tarha Kisis Soach Mein Doba Hua Tha Wo
Hijir ka taara doob chala hai dhalny lagi hy rat wasi
Qatra qatra baras rahi hai ankhon se barsat wasi
tery bad ye dunya wale mujh ko pagal kar dein gy
khushbu k dais mein mujh ko le chal apne sath wasi
yunhi chup ki mohr laga kr kb tk gumsum betho gy
khamoshi se dum ghut-ta hy chero koi baat wasi
"Parveen Shakir"

Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn...?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai...

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata...

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai...

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi...

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai...

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga...

Kuch Pal Is Khawab Mein khona Acha Lagta Hai....!!
kiya likhon tery naam sajan
tuje sochon subho sham sajan
tm neeli jheel ka pani ho
mohobbat ki ek kahani ho
tm pyar ka meethe bol ho
tm hr ek se anmol ho
tm aasman ka badal ho
tm mari aankh ka kaajal ho
tm mere mann ki jeet ho
mere labon ka geet ho
tm chaman me khilta gulaab ho
chahat se likhi kitaab ho
tm mere liye mere sanam ho
jo toot na sake wo kasam ho
kiya likhon tery nam sajan
tumhe sochoun subho shaam sajan
Woh Mil Jatey Hain Kahani Bankar
Dil Mein Bas Jatey Hain Nishani Bankar
Jinhe Hum Rakhte Hain Apni Aakhon Mein
Kyun Nikal Jatey Hain Wo Pani Bankar
Khayaalo Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai
Nigaahon Ko Teri Talaash Rehti Hai
Tere Bina Koi Kami Nahi Lekin
Tere Bagarr Tabiyat Udaas Rehti Hai
Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hy

Wo ashk ban kar Aankhon se rawaan rehta hy



Kisi lamhy tanha honay nahi deti uski yadein

Mere Aangan mein melay ka samaan rehta hy



Her gharri dil ka daricha khula rakhty hain

Her gharri us ke aanay ka gumaan rehta hy



Log kehty hain zakham bhar jatay hain aakhir

Zakham bhar jatay hain lekin nishaan rehta hy



Wo milay to itna bata dena usko

Tujh bin Tera pyar preshaan rehta hy
Bheegi Aankhon WaLi Larki


Meri Taraf Jab Daikhti Hai Tu


Mann Main JaL ThaLL Kar Jati Hai


Mujh Ko PagAL Kar Jati Hai. .*
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
Tou soach lena...
ghataen jhoom k sehra ki simt aa nilen...
gulaab cheer k seena chtaan ka mehken...
lagen jo rait k zarre bhi kehkishaan jaise..
falak k chand ko dharti pq rashk aane lage...
aur absharoon se naghma koi ubharne lage...
ya tar dil ka kisi k naam pe larzne lage...
ya sooti aankhon me yakbaar khwab jaar uthen...
fasoon shizaan ka baharon se hamkalam lage...
utarne palkon pe ek sumaai c shaam lage...
kisi k honton ki khamoshi ek piyam lage...
rafaqton ka bhi moasam thehr thehr jaae...
tou soach lena k tumhen MOHABBAT hui k hui...
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain