khon SMS Messages650 messages

Le Kar Sitaron Ko Ye Raat ayi Hy

Ankhon Men Hazaron Khwab Layi Hy

In Khwabon Men Tum Chupky Se Kho Jao

Off Karo Light Or Dheery Se So jao

*GOOD NiGHT
Socha Tha Teri Sadgi Pay Likhon Ga Ek Ghazal,,,???

Afsos K Tery Mayaar K Alfaz Na Mil Saky...???
Kaash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.
Tere ronay se tere saray
Ansuon ko pi jata.

Raat ko be-khabri me Jo
Tujhe mera khayal aata.
Tu main teri ankhon me
kuch pehlay se ziada
Tehal jata.

Subha jab tum apne
Naram hathon se saf
karti mujhe.
Tu main tere nazuk
Hathon pe lag sa jata.

To apni ankhon me
Hamesha pyar se lagati
Mujhe,
Tu na kabhi khud se
Juda kar pati mujhe.

Youn teri rangeen dunya
Me rehta madhosh.
Umar bhar me karta teri
Ankhon ko roshan.

Kash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.

¤KinG Of SmS¤007
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..
Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…
Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…
Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy
Usko paa kar kibhi tu khona tha,

Ye hadsa kabhi tu hona tha,

Wo tor kar aksar mujhe Chorti rahi,

Jese men uss ke haat ka kio khilona tha....
Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hy
Wo ashk ban kar Aankhon se rawaan rehta hy

Kisi lamhy tanha honay nahi deti uski yadein
Mere Aangan mein melay ka samaan rehta hy

Her gharri dil ka daricha khula rakhty hain
Her gharri us ke aanay ka gumaan rehta hy

Log kehty hain zakham bhar jatay hain aakhir
Zakham bhar jatay hain lekin nishaan rehta hy

Wo milay to itna bata dena usko
Tujh bin Tera pyar preshaan rehta hy
zindagi per aik kitab likhon ga
main us me wo saare hisaab likhon ga

hui barbad meri zindagi kese?
Kese bikhre hen mere khawab likhon ga

khud ko kisi tili ka roop de kr
auron ka chehra gulab likhon ga

kisi ko llzam-e-bewafa na donga
bas apni hi qismat kharab likho ga
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker

Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar

Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta.
KUCH TO HY TU BADAL GYA HY!
.
Wo Teri Ankhon K Khawb Sary Wo
Baten Sari Hisab Sary Sawal Sary
Jawab Sary
Wo khushain Sari
Azab Sary
Nasha Tha Jo Wo Utar Giya Hai,
.
KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI!
Jo Tery Milny Ki Arzo Thi
Jo Tujko Pany Ki Justju Thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo Teri Ankhon Main Roshni Thi
Jo Teri Baton Ki Rangini Thi
Jo Teri Sanson Ki Tazgi Thi
Jo Tery Lehjy Main Chashni Thi
Wo Sara Meetha Pighal Gaya Hai
.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY"
Kahin wo mile to usay kehna K Lot aao
Lot aao k koi shiddat se
Barri muddat se Barri muhabat se tumhara intizar kar raha hai
Lot aao k
kisi ki bahare na hone se kisi ki aankhon mei nami or zindagi mei kami bohat zyada ha
Eik Eik Pather Jor Kar Main Nai Jo Dewar Banaie Hai.
Jankhon Ous k Pechie Tou Ruswaie Hie Ruswaie Hai.
Youn Lagta Hai Sote Jagte Auron Ka Mutaaj Hon.
Aakehn Meri Apnie Haien Per In main Neend parie Hai.
Dekh Rahe Haien Herat Say Sub Nele Nele Pani Ko.
Pochie Kon Samandar Say K Tuj main Kitnie Gehraie Hai.
Aaj Hoa Maloom Mujehe is Sher K chand Sauoun say.
Apni Raha Badalte Rehna Sab say Bari Danie Hai.
Tor Gaeie Pehmanie WAFA is dor dor main kesie kesie LOG.
Yee mat Soch K REHAN bus Eik Yaar hie Tera Harjaie Hai.
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha

Woh laut kar na aaya magar intezaar tha


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe

Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye

Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka

Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha


Yeh baat umer bhar samjh na paayi main

Kyun Dil mera us ka talabgaar tha