Jo Udas Hain Tere Hijar Mein
Jinhe Bojh Lagti Hai Zindagi
Sar-E-Bazam Youn Inhe Dekh k Tera Munh Chupane ka Sukria
Jo Zamane Bher ka Asool Tha
Wo Asool Tu Ne Nibha Dia
Yehi Rasm Thehray Gi Moutbar
Tera Bhool Jaane ka Sukria
Humse Wafa k bare Mein Jo Chahe Poch Lo
Lakin Wafa ki kia Hai Saza Ye Na Pochna
Raste Mein kon Mila Yeh Pochna Shoq Se
kis kis ka Saath Chot Gia Yeh Na Pochna
kia Humne Zindagi ko Dia Sab ko hai khabar
kia Zindagi Ne Humko Dia Ye Na Pochna
Her Su Raqabton ka Dehekta Alao Tha
Uss Shehar-E-Dostan mein Ghazb ka Tanao Tha
Phir Youn Hua k Uski Aana Usko kha Giye
Werna Uss Aadmi mein Bara rekh rakhao Tha
Wo Naam Tha Badal Gaya
Mein Sham Tha Dhal Gaya
WO Nazar Tha Jhuk Gaya
MeiN tehreer Tha Mit Gaya
WO Shama Tha Pigal Gaya
Mein Perwana Tha Jal Gaya
Wo Ashk Tha Beh Gaya
Mein Dard Tha Seh Gaya
WO Chand Tha Chuup Gaya
Mein Badal Tha Baras Gaya
WO Tofan Tha Guzar Gaya
Mein Gulshan Tha Bikher Gaya
kanton Se Guzer Jana Sholon SE Nikal Jana
Phulon ki basti Mein Jana To sambhal Jana
Din Apni Chiraagon ki Maanind Guzarte Hain
Har Shab ko Bujh Jana Her Shaam ko Jal jana
Bachon Hi si Fitrat Hai Ham Ahl-E-Mohabbat ki
Zid kerna Machal jana Phir khud Hee Sambhal jana
Woh Shaks Bhala Mera kia Saath Nibhaye Ga
Mosem ki Tarah Jis ne Seekha Hai Badal Jana