Aye Jhoot ke Fatwoon ki Dukan kholne Wale
Farman-e-Payumber ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De
kadurat Ho To Sachi Baat Bhi Mani Nahi Jati
ke Chashme Toor Tak Suraj ki Tabaani Nahi Jati
Ab Itna Bhi na Apne ko Bigaro Bugze HAIDER Me
ke khud Tumse Tumhari Shakl Hi Pehchani Nahi Jati
Sab k sab aala nasab silsila hy aik sa
Ibtida hyder say hy Mehdi pay hy inteha
Chotay barey ka sawal in me huwa hy na hoo
Dada bhi laftah pota bhi mushkil khusha
Aabhi kuch or rahyen gay Imam parday me
k horahey hain qayamat kkaam parday me
Sehar say pehlay arezun ki maslihat hy yehi
Huzoor say ho salam o payam parday me
Ta ajub un pay hy bay wajha sir jo partey hain
kisi say laina na daina fazool lartay hain
khamosh baithey howey hain khamosh rehnay dain
Huk intezar me hyn apney aaqa k log kyun phr kham khaa bigartey hain