k SMS Messages22161 messages

Mehraab par Ali(AS) hein to mimbar pe bhi Ali(AS)
ka''aba gawaah dosh-e-Payambar(SAWW) pe bhi Ali(AS)

khandaq, Uhad, Hunain to khaibar mein bhi Ali(AS)
Hijrat ki shab Rasool(SAWW) k bistar pe bhi Ali(AS)

Har jaa Ali(AS) mileingay na daaman bachaiye
Bachna Ali(AS) se hai to jahannum mein jaaiye
Hasan(AS) hai naam konain ka Dulara hai
khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
Na Janay khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) kO
jahan pe QASIM O AkBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.
Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa Arjumand hain
Aisay khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.
Woh Jo Rangeen Hua khoon-e-Shabbir(a) Say
Aasmaan Se Bhe Uncha Woh Parcham karo
karbala Say Yehi Aarahi Hay Sada
Zindagi Chahtay Ho To Matam karo
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT kHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai
Dour zehnoon se teeragi ker lo
Zikar-e-HAIDER(a.s) se roshani ker lo
Ji rahay ho baghair hub-e-ALI(a.s)
es se behtar hai khud kushi ker lo
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai
Fanaa k Baad b is Rasam ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBASS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
mehki hui jannat k hawa khoob hai leken
Abbas(a s) k rozay k fiza sab seh alag hai
laao tou ata karnay main Abbas ka sani
bin hathoon seh denay k ada sab seh alag hai.......
Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
khuda k Saath Mohammad(SAWW)ka Naam Zinda Hai
Tumhara To koi Murda Bhi Ab Nahi koi
Humein Hai Fakher k Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
Ya RAB ye iltimaas hai teri janab mai
Mujh ko mila day kHAk-E-DAR-E-BOOTRAAB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay kHUDA ke azaab main