muhabbat
jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa
jhoot hay jis ka sehr
sadioo''n say tari hay
magar janaa''n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana
muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee''n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee''n kerna
wagerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee
nahi sunnuna
muhabbat
jhoot hay janaa''n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo