intizaar SMS Messages16 messages

Kab usay intizaar mera tha
Ye to bas aetibar mera tha

Meri khush fehmi thi shayad
K us pe kuch ikhtiyaar mera tha

Kabhi uski bhi aisi haalat thi
Jaise dil-e-beqaraar mera tha

Ghamon mein qaid kar gaya mujhe
Wohi jo gham gusaar mera tha

Mein bhala kaise bhool jaon usay
Jo kabhi aik baar mera tha
aanvli Si Ik Larki

Aarzoo K Gaon Mein

intizaar Karti Thii

Uss Ki Zindagi Mein Bhi

Ik Bahaar Aa Jaey

Uss Ki Duniya Mein Koi

Lay Kay Piyaar Aa Jaey

Sapnay Boonti Rehti Thii

Saanvli Si Aik Larki


Maut Par Bhi Hai Yakeen, Un Par Bhi Aetbaar Hai
Dekhate Hai Pehle Kaun Aata Hai, Dono Ka intizaar Hai
Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai
Kahin Khamoshi Main Bhi Iqrar Hai
Kahin Kisi Ka Dil Beqarar Hai
Kahin Nigahon Main intizaar Hai
Kahin Kinara Kahin Manjhdaar
Kahin Apni Saanso’n Ka Koi Aur Haqdaar Hai
Tou Kahin Khud K Dil Main Kisi Anjaan K Liye Mohabbat Beshumar Hai
Aur Shayad Isi Fasaane Ka Naam Tou “PYAR” Hai
Mujhe Uss Se Ab Bhi Mohabbat Hai
Magar Na-jaane Kyun
Ab Uss Mohabbat Mein Woh Pehli Si Shiddat Nahi Rahi ...

Mujhe Ab Bhi Uss Ka intizaar Rehta Hai
Mager Na-jaane Kyun
Ab Uss Ke intizaar Mein Sitaron Ke Saath
Haal-e-DiL Kehne Ki Aadat Nahi Rahi ...

Mujhe Ab Bhi Uss Ki Yaad Aati Hai
Mager Na-jaane Kyun
Uss Ki Yaad Mein Roney Ki Khwaahish Nahi Rahi ...

Main Uss Se Ab Bhi Milna Chahta Hoon
Mager Na-jaane Kyun
Ab Uss Se Milne Ki Tarap BaaQi Nahi Rahi ...

Sochta Hoon ! Kitna Badal Gaya Hoon Main
Bilkul Uss Jaisa Ho Gaya Hoon Main . . . [¤_¤]
yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi
Meri Taqdeer Se Pooch Meri Qismat Ka Faisla.

Meri Muskurahat Pe Na Ja Mere Dard Ko Talaash Kr.

Meri Aankhon Se Pooch Mere intizaar Ki Inteha.

Mere Itminaan Pe Na Ja
Mere Sabr Ko Talaash Kr.

Mere Pyar Se Pooch Mere Pyar Ka Aalam.

Meri Soorat Pe Na Ja Meri Seerat Ko TALAASH Kr..
Ghum unko bhi naseeb hotay hain
Jo log khushnaseeb hotay hain
Hota hai dunya main koi aik hi apna
Warna saray dusray raqeeb hotay hain
Some Hopes: badalna ata nahi humay mosamoon ki tarha
har aik rut may tara intizaar kartay hain
na tum samait sako gay jasay qayamat tak
kasam tumhary tumhay itna pyaar kartay hain
mere zakham abhi bhare nhi
main dawa keron k dua keron

apne zakham ka merham keron
ya tere vaar ka intizaar

koi or de mujhe naya zakham
main zakhmon se hi saja keron
Ae Aankh Tuu Band
Ho Jaa

Khwabo''n Mein Un Ki
Surat
Tou Nazar Aane De

intizaar Tou Subha
Phir Shruu hoga

Kam-az-Kam Raat
Tou Khusi Se Guzar
Jane De ... :)
Hum Fizaon K Badalne Ka intizaar Nahi Kerte

Aandhiyon K Rukne Ka Intizar Nahi Kerte

Yaad Aati Hai Tou Sms Ker Dete Hain

Hum Kanjuuso''n K Sms Ka Intizar Nahi Kerte