hina SMS Messages61 messages

Aao aaj sare dost mil kr 1 vada krain k august ka pura mahina koi b underwear nhi pehne ga.qk august ka mahina azadi ka mahina hy:-)
JASHN-E-AZADI MUBARAK
Assalam-O-Alaikum!

Ramazan ul mubarak k pooray mahinay main parhay janay walay wazaif

* rozana 1200 martaba kalma tayaba( pehla kalma) din bhar main kisi bhi waqt
kisi bhi namaz k baad

* aik mukamal quran pak poray mahinay main

* rozana namaz isha k baad 2 namaz toba aur 2 rakat namaz shukrana ada karain




See/Print Wazifa In Urdu/Arabic.
December Kay Mahinay Ka Woh Shaid Akhri Din Tha
Baras Guzray Kayen
Main Nay “Mohabat” Lafz Likha Tha
Kisi Kagaz Kay Tukray Per!
Achanak Yaad Aya Hay
Baras Guzray Kayen
Muj Ko Kisi Say Bat Kerni Thi
Usay Kehna Tha
Jaan-Nay Jaan! “Mujay Tum Say Mohabat Hay”
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kagaz Ag Tak Lipta Para Hay Dhool Main Lakain
Kisi Ko Day Nahi Paya
Dobara Cha Ker Bhi Main Mohabat Ker Nahi Paya
~T o d a y z
T h o u g h t~


Manjan,
Churan,
Zakhm Patti,
China k Ghubarey/Torch
k Alawa Koi Kaam Aisa Nhi Hy Jis Mein Cash Fori Mil Jaye... =P ;->
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUM SE APNE RUTH NA JAYE IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

MERI SOORAT DEKHNE WALON MAIN BHI EK AAYENA THA
TOOTA JAB YEH SHEESH-E-DIL SAWAN KA MAhina THA

TUKRE DIL K KIS KO DIKHAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

AAJ KHUSHI KI IS MEHFIL MAIN APNA G BHAR AAYEA HAI
GHAM KI KOI BAAT NAHI HAI HUMEN KHUSHI NE RULAYEA HAI

AANKH SE AANSO BAHE NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

PYAR K PHOOL CHUNAY THAY HUMNE KHUSHI K SEJ SAJANE KO
PAT JHAR BAN KAR AAYI BAHAAREN GHAR MAIN AAG LAGANE KO

AAG MAIN GHAM KI JAL NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAI
Us K Hathon Main hina,Paon Main Payal Hogi.Aik Dewar Magar Beach Main Hayal Hogi.Us K Jalwoon K Bohat Pass Main Honga.Lakin Wo Kisi Or Ki Taqdeer Ka Hasil Hogi.Surkh Kaproon Say Sajay Tar Na Mery Hongy.Us Ki Aankhoon Main Mery Pyar Ki Jhilmil Hogi.Jaty Jaty Wo Mujy Pyar Say Dakhy Gi Jab.Roty Roty Wo Meri RohMain Shamil Ho Gi.Mujy Say Wo Dor Bohat Dor Chali Jayee Gi.Ya Kaahani Bhi Sara-e-Bazam Mukamil Hogi.
DECEMBER kay mahinay ka wo shaid akhri din tha
baras guzray kai
main nay "MUHABAT" lafz likha tha
kisi kagaz kay tukray per!
Achanak yaad aya hay
baras guzray kai
muj ko kisi say bat kerni thi
usay kehna tha
jaan-nay jaan! "MUJHY TUM SE MUHABAT HY"
magar main keh nahi paya
woh kagaz aaj tak lipta para hay dhool main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya!
kya khabar thi wo humien daagh_e_judai deingey
hum zamaney mein shab_e_gham ki duhai deingey

pehley tum apni wafaoon ko koi rang toh doh
khud naye rastey ankhoon ko dikhai deingey

apne andar ke gali kuchoon se guzro aik din
tere kanoon ke shor sunai deingey

hum badal deingey baharoon ke puraney andaaz
perhan ab ke har aik gull ko hinai deingey

apney mazi ko na dekhiengey palat kar
gham ki zanjeer se iss dil ko rehai deingey!!
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
Tumhari zulfein tumhari palkein
Tumhari aankhein tumhara chehra
Tumharay shaanay
Surahi daar garden
Kalion mein khanktay kangan
hinaai haathaon mein unglion
Ki haseen purrain k jin mein
Sandal mehak rahi hai
Yeh naram saanson ki gungunahat
Qadam uthao tu dharkanein sath
Chorti hainbadan ka har zawiya qyamat
Nahi tumhari missal gori
Kamal ho tum kamal gori
Tunicsay sab kuch haseen hai
Lajawab hai par
Meri nahi hai
Tumhara kuch bhi mera nahi ha
Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
dst-e-katil bhi mjhy dast-e-hina lgta tha
Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
han wo shaks mohabt ka khuda lgta tha
kanton bhari shakh nazar ata tha kabi
phool lgta tha kabi bad-e-saba lgta tha
ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
main jisy sare zamany sy bura lgta tha
us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha
Main Usay Dill Say Piyar Karti Hoon Rang Jis Ka hina Say Milta Hai.
Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahin LAKIN Saanwali Si Is Jori Say Zamana Jalta Hai.