ghum SMS Messages192 messages

ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say
Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Jante Houn Jisay Zamany Say
Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say
Jab Say Apno Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say
Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say “
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gai
Ke Tujhse Juda Hokar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai
Tum Laut Ke Aao Gey Hum Say Milney
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai

Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai

Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke
Ke Ab Tu Tanha Safar Ki Aadat Ho Gai
Har Morh Par Mili ghum Ki Parchaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai

Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom "Sameer"
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai...............
Kabhi milay tu usay yeh kehna
K tanha sawan bita chuka hoon
Saray armann jala chuka hoön
Jo sholay bharkay thay khawhishon k woh ansuaon
se bujha chuka hoon
Kahin milay to usay yeh kehna k Baghair us k udas
hoon main
Badalti rut ka qiyas hoön main
Bujha de apni mohabaton se, Sulagti sadiyon ki piyas
hoon main, Kahin milay tu usay yeh kehna
Na dil main koi malal rakhe, Hamesha apna khayal rakhe
Apne sare ghum mujh ko dai de
Or sari khushian sambhal rakhay.
Jinn ko dunya ki nigahoon sey chupaye rakha

jinn ko ik umar kalaijey sey lagaye rakha

Dil mai jinn ko aik eimaan banaye rakha

Tu ney dunay ki nigahoon sey jo bach ker likhey

Saal ha saal mere naam barabar likhey

Kabhi din ko kabhi raat ko uth ker likhey

Unn khusboo mai basey khat ko jalata kaisey

Pyarr mai doobey hoye khat mai jalata kaisey

Tere hathon sey likhey khat mai jalata kaisey

Tere khat ajj mai ghum mai baaha aya hon

Aag pani mei mai ajj laga aya hon
meri afsurdagi se pareshan na ho
tu meri talkhioon ka sabab to nahi
teri aankhian to meri hi damsaaz hian
thin kabhi ajnabi lekin ab to nahi
tujh ko meri musarat muqadam sahi
tera ghum mujhe ko waja e tarb to nahi

tera ahsan hai tu ne mere liye
apni palkoo se rahoon k kante chune
khud kari dhoop main reh kar mere liye
tu ne zulfoo k shadab saaye bune
meri khatir zamane ko pagal kaha
meri khatir zamane k tane sune

tu meri zindahi hia magar jaane man!
ab wo ishq o muhabat ki rasmain nahi
mere dil main kai ghaoo aese b hian
jin ka darmaa teri dastaras main nahi
ik ghum jis ki shidat hamagir hia
tere bas main nahi mere bas main nahi
MOHABBAT Kya Hai?

Urdu Nay Kaha
Bewafaon Ka Khel Hai

Maths Nay Kaha
Khushi+ghum

Islamiat Nay kaha
Ibaadat Hai

Geography Nay Kaha
Diloun Ki Serhadein Open Kernay Ka Naam Hai

Science Nay Kaha
Do Diloun K Darmian Kashish Hai

History Nay Kaha
Taj Mahal Ka Dusra Naam Hai

Aur Ap Kia Kahte Ho..?
Yun Tu ghum Sab Ki Zindagi Main Hai...
Zabt Lakin Kisi Kisi Main Hai...
Usne Ghazal Sun Kar Kaha Meri...
Kitna Dukh Teri Shairiii Main Hai...
jab bahaar aei tuu sehra ki tarf chal nekla
sehn_e_gul chor gaya dil mera pagal nekla
hum sakon dhundny nekly thy pareshaan rahy
shehr tuu shehr ha jungal b na jungal nekla
hum usy dhundny nekly tuu neshaan tak na mela
dil main mojud raha ankh say ojhal nekla
wo jo afsana_e_ghum sun k hansa karty thy
etna roay hain k sab ankh ka kajal nekla
ek mulakat thi jo dil ko sada yad rahi
hum jesy umar samjhy thy eo ek pal nekla..!!
chahay kassa mossam ho
chahay kassa b din ho
koi afsurda bat ho ya chahay koi b ghum ho
himatain nhi khona tum udas mut hona
zindagi k rastay main mushkilain to atti hein
sath chorr daitay hein
jo hanssi k sathi hein
muskurahatain magar nhi khona
tum udas mut hona
Aankho mein kyun aanso jalak jaate hai,
Tanhaiyo mein kyun gham yaad aate hai,
Aanso poch kar koi yeh bata de humein,
Aksar zindagi mein ghum barbar kyun ate hain...