ghalat fehmi SMS Messages6 messages


yeh mumkin hai hamaray darmiankoi
ghalat fehmi bhi na rehti
jo apnay dil mein choti si
khalish hai khatm hojati
bata deta k mujh ko aaj bhi uski zarorat hai
jo is jevan ka hasil hai to bus uski mohabat hai
bata deta k logon ki sabhi baaten fasanay hain
sabhi qisay puranay hain
main keh deta k zara si baat pay yun rothna acha nahi hota
mohabat karnay walon mein
ghalat fehmi to ho sakti hai par jhagra nahi hota
main har ik baat keh deta
khalish bhi dur hojati
main uska hath thamay yunhi uska hum qadam rehta
woh agay hath to karta
wo mujh say baat to karta
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
YE MUMKIN HAI HAMAREY DERMIYAN KOI
ghalat fehmi BHI NAHEE REHTI
JO APNY DIL MEIN CHOOTI SI KHALISH HAI
KHATAM HO JATI
BATA DETI KY MUJH KO AAJ BHI
USS KI ZARORAT HAI
JO IS JEEWAN KA HASIL HAI
TOH BAS USKI MUHABBAT HAI
BATA DETI KY LOGO KI
SAB HE BAATAIN FASANEY HAIN
SAB HE QISSEY PURANY HAIN
MAIN KEH DETI ZARA SI BAAT PER
YUN ROOTHNA ACHA NAHEE HOTA
MUHABBAT KERNY WALON MEIN
ghalat fehmi TOH HOTI HAI
MAGAR JHAGRA NAHEE HOTA
MAIN HER AIK BAAT KEH DETI
KHALISH BHI DOOR HO JATI
MAIN USKA HATH PAKREY YUN HE
USKI HUM QADAM REHTI
WOH AAGEY HATH TOH KERTA
WOH MUJH SY BAAT TOH KERTA
Woh Kuch Sunta To Mein Kehta
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Woh Do Pal Ko Jo Ruk Jata
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
ghalat fehmi Nay Baton Ko
Barha Dala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha Woh Kuch Samjha
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
THora tHora sacH
THora tHora jHoot
Yun
Hamare piyar ki
bunyaad rakHi gai
THori si
ghalat fehmi
THora sa kHauf-e-zamana
Yun Hamare piyar ki
PHir saakH tori gai..

(Nuzhat Shah)
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.