Woh Kuch Sunta T

Woh Kuch Sunta T
Woh Kuch Sunta To Mein Kehta
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Woh Do Pal Ko Jo Ruk Jata
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Ghalat Fehmi Nay Baton Ko
Barha Dala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha Woh Kuch Samjha
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
  

Jun, 04 2010     220 chars (2 sms)     2829 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha

Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha


Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed

Usi Waqt Is Tufaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Qalam tutdi nahi,

Seyahi mukdi nahi,

Nahion Mukda Dilon pyaar usda,

Oh saanu yaad kare na kare,

Saanu rehnda har waqt khayaal usda...
jiski aarzoo thi wo dilbar na mila,
barso jiska intezar kiya wo pal na mila,
ab sochte hai kya ajeeb khel ye pyar ka,
kisi ko hum na mile aur koi hume na mil
Dosti ka rishta purana nahi hota,
Iss se bada koi khazana nahi hota,
Dosti pyaar se bhi pyari hai,
Kyun ki iss mein koi DOST pagal ya deewana nahi hota.
Meri pehchan bas naam hi sahi,

yaad na aaye tumhe itne badnaam to nahi.

hume bhul jana majburi hi sahi,

magar sachmuch bhul jao ye zaruri to nahi
Waqt ko bass tumhare saath bitana acha lagta hai,

Tumhi se baat karna muskurana acha lagta hai,

Tumhare aansu b pyaare tumhari muskurahat b,

Tumhi se roothna tum ko manana acha lagta hai,

Tumhari khushyaan mujhe Ae dost hein apni jaan se pyaari,

Tumhare waste har gham uthana acha lagta ha
Kuch hadsat-e-zeest hai kuch wardat-e-ghum



Bus itna sa falsafa hai mere shair-o-ghazal ka
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye
aag aisi lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye
Aaj bhi rote hai unhe yaad karke
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE
qasam un mast ankhoon ki main wo lub-raiz-sagar hoon..

jo masti main chalk jaoun,tu mehkhano ko lay dooboon...
Mere Etmaad Ki Is Se Barh Kar Aur Kia Daleel Hogi.



Jo Tumhari La-Taluki Ko Masroofait Sumjh Betha...
Agar Zindagi mein judai na hoti,
Toh kabhi kisi ki yaad aati na hoti,
Sath gujara hota har lamha,
Toh shayad rishto mein itni gehrai na hoti.