door SMS Messages399 messages

qadmoon main thi zameen safr fasloon main tha.

main door tha zaror magar raston main tha..
humain thukraa kar door bhi jana chaho to itna na jana.

kay wapis bhi aajao to wo "MAKAAM" na mile..
Zara Udas hoon Lekin Zara
Masroor bhi hoon...

Tumharay paas hoon
shayad,shayad door bhi
hoon...

Yoon Pathreelay Raston Pay
Chalna Shoq nahi Mera..;

Kuch Muaamla Chahat ka hay
Kuch Majboor bhi hoon..

Mohabbat Ho Gai Tum say Bus
itni Khata hay Meri...

Mana k Mujrim hoon Magar
BayQasoor bhi hoon...
, nahin door mujh se qareeb hai

Mujhe uska gham to naseeb hai, wo agar nahin tu naheeN sahi
Kabi thak k so gaye hum,
Kabi raat bhar na soye,
Kabi hans k ghum chupaya,
Kabi munh chupa k roye,
Meri Dastan-e-Hasrat wo suna suna k roye,
Mere Azmany waley mjhey Aazma k roye,
Shab-e-gham ki aap beeti jo sunayi Anjuman main,
Kai sun k Muskraye,
Kai Muskura k roye,
Main hun Be-Watan Musafir,
Mera naam Be-Kasi hai,
Mera koi bhi nahi hai jo Galey laga k roye,
Mere paas se Guzar ker mera Haal tak na pucha,
Main ye kese maan jaun k wo door ja k roye?
*~" Jis k milney ki nahi hoti door talk Umeed koi....


*~" Un k kho janey ka khudsha bhi bohut hota hai...!!
Manzil Zara b door Na Thi Us Nishan Se

Thak k Gira Tha Jahan Parinda Uraan Se

Barish ki Dua is Liye Me Mangta Nahi

K Darya Bohat Qareeb He Mere Makan se..
woh kahti the ki
suno !
Mohabbaton main dooriyan
Mohabbaton ko or Mazboot bana deti hain
laikin
isse shyd yeah khabarr nhi hai
keh Fasle..
Dilon par bane Naqsh be to Dhundla dety hain

purane samaan ke saath
phir nikal ke samne aa gai hai..

peele safe
miti hui syahii
par jo likha hai ..
vo dil pe bhi naqsh hai ..
har baar ise door karne ki chaah me
kabhi machan pe uchal diya
kabhi purane samaan me phaink diya
khirki se bahar phainkne me
haath saath nahi dete..

barhaa ghar me chupane ki, dafn karne ki koshish
aur utni hi shadeed koshish
is dairy ki mere saamne aane kii
ye lukachipi kai salon se jari hai
main chup rahi hun
aur mujhe dhoond rahi hai
Meri Dairy .....!!!
sham-e-gham jab bikhr gai ho gi!

jany kis,kis k ghar gai ho gi.

dair tak wo khafa raha mujh se!

door tak ye khabr gai ho gi.

jis traf wo safar pe nikla tha!

sari rounaq udhr gai ho gi.

ya taluq na nibha saka us se,

ya tabiyat hi bhurr gai ho gi.

teri pal bhur ki dil lagi mohsin!

us ko barbad kr gai ho gi....!
"Parveen Shakir"

Wada nahi krti k sath nibha paongi MAIN,

Sath tere umar bhr zindgi bita paongi MAIN,

Kya pta ab ka mosam kb rukh apna badle?

Nahi pta mujhe kb bewafa ho jaongi MAIN,

door hum b nahi hona chahte tujh se,
"MAGAR"

Kya pta kb fana ho jaongi MAIN,

Tere liye saansen
Abhi to sath de rahi ha
kahi chand rahoon mai kho gaya,kehi chandni batak gai,
mai chirag vo b buja hua , meri rat kaisy chamak gai,
meri dastan ka arooj tha ,teri nam palkon ki chayon mai,
mery sath tha tujy jagna , teri ankh kesy chapak gai,
bala hum mily b to kya mily, wohi doorian wohi fasily,
na kabi hamary kadam bhary, na kabi tumhari jijak gai,
tery hath sy mery hont tak wohi intezar ki piyas hai,
mery nam ki jo sharab thi kahi rasty ma chalak gai,
tujy bhool jany ki koshishain kabi kamyab na ho sakin,
teri yad shah-e-gulab hai , jo hawa chali to lachak gai