dil SMS Messages2810 messages

Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !
Aap Se Khafa Hokar Hum Jayenge Kahan
Aap Sa Sathi Hum Payenge Kahan
dil Ko To Kaise Bhi Samjha Lenge Hum
Lekin Ankhon Ke Aansu Chupayege Kahan
Ati Hai Yad Teri, Rota Hai dil Mera
Girta Hai Ju Bhi Anso, Banta Hai Nam Tera
Khuda Kare Ki Pyar Me Kisi Ka dil Na Toote
Jaise Rutha Mera Sanam Kisi Aur Ka Na Ruthe
Rota Hai dil Aur Toot Jate Hain Sapne
Ankhon Ke Aansoo Bhi Nahin Hote Hain Apne
Utha kar pho0l ki patti nazakat se masal dali...
Phir Ishare se kaha hum dil ka aisa hal karte hain
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!
Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab Hu
Sawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab Hu
Jo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”
Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab Hu
Duniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha As
Sabse Nashili Aur Badnaam Sharaab Hu
Sar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab Hu
dil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu
Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya
dil Bahut Kuch Jalaa Ke Dekh Liya
Woh Mere Ho Ke Bhi Mere Na Huai
Un Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
Mere Charon Taraf Hai Dashat-E-Be Payan Kahan Ho Tum
Mere Mathay Pe Bosa Dene Wali! Kahan Ho Tum

Mujhe Jhulsa Rahi Hai Zindagi Ki Dhoop Barsoon Se
Meri Umeed, Meri Zeesat Ke Saman Kahan Ho Tum

Kharashain Daal Di Hain dil Ke Aaine Pe Duniya Ne
Mere Har Dukh, Har Dard Ka Darman Kahan Ho Tum

Main Thak Kar Girne Wala Hoon Mujhe Aaghosh Main Ley Lo
Tahaqub Main Hai Mere Ghardesh-E-Doran Kahan Ho Tum

Mere Woh Dost Khush Qismat Hain Jin Ki Main Zinda Hain
Meri Nazroon Main Sara Shaher Hai Veeran Kahan Ho Tum
Zara Tehroo..
Kay Soraj Ko To Janay Do..
Parando Ko To Ur Janay Do..
Zara Sham Dhalnay Do..
Abhe To Aasman Ka Rang Nikray Ga..
Abhe Khushboo Bhe Bikray Gee..
Abhe Mosam Bhe Badlay Ga..
Abhe To Chand Niklay Ga..
Abhe Manzar Badalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Abhe dil Kay Sambhalnay Mein Zara See Dair Bakee Hey..
Chalay Jana..
Chalay Jana…
Abhe Do Char Pal, Do Char Sadyaa Sat Rehney Doo..
Zara….
Zara Tum Sham Dhalney Do..
Tahar Jaoo
Tahar Jaoo
Aaj Kuch Maangna Hay Tum Say
Aaj Kuch Lena Hay Tum Say
Aaj Kuch Dena Hay Tum Ko
Aaj Kuch Kehna Hay Tum Ko
Na He Koi Khuwahish, Tamanna Na Arzoo
Bas Aik Hi Chah Hai Apni Aur Aik Hi Justaju
Ham Maangtay Hain Tum Say,
Teray Derd O Gham Wo Saarey Jo Rula Gaye Hain
Teri Neenden Uda Gaye Hain
Ham Hain Shareek E Gham Teray Pehchaan To Sahi
Ham Bhi Hain Saath Teray Tu Jaan To Sahi
Ker Bojh Apnay dil Ka Halka Hamen Bataday
Ye Fikar Ye Udasi Kioon Hay Zara Sunaday
Laaye Hain Ham Baharain Teray Hi Waastay
Ye Rang Aur Ye Khushboo Teray Hi Waastey
Aaj Kuch Maangtay Hain Tum Say
Aaj Kuch MaangnA Hay Tum Say
Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana

Saink’roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana

Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai
Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana

Apni Yaadein Tu Mere dil Main Basi Rehne Dey
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana

Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon
Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana

Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain
Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana