dil SMS Messages2810 messages

Kaha usne bharosa dil pe itna nai karte
Kaha meine mohabbat mein kabhi socha nai karte
Kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
Kaha meine jab tum ho to ham kuch dekha nai karte
kaha usne main tum se door hun lakin tumhara hun!
kaha maine k sapne dil ko behlaya nai karte
kaha usne teri chahat tujhe ruswaiyan de gi
kaha maine shohrat se ghabraya nai karte,
Kaha us ne samajh jao,samajh jao aye mere dost,
Kaha main ne,deewane ko samjhaya nai karte!
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha
kbi moam ban k pigal gaya,

kabi girtay girtay sambhal gay

wo ban k lamha guzar gaya

meray paas se nikal gaya

usay rota b to kis tarah
k wo shakhs itna ajeeb tha
kabi tarap uta meri aah se
kabi ashk se na pighal saka
sar e rah mila wo aga kabi
to nazar chuka k Guzar Gaya
wo utar Gaya meri ankh se
mere dil se Q na utar saka
wo chala Gaya jahan Chor k
main wahan se phir na palat saka,
wo sambhal Gaya tha magar,
main bikhar k phir na simat saka
Us Ne Do0r Rehne Ka Mashwara Bhi Likha Hei,
Sath He Mohabbat Ka Wasta Bhi Likha Hei,
Us Ne Ye Bhi Likha Hei Mere Ghar Nahi Aana,
Or Saaf Saaf Lafzon Mein Raasta Bhi Likha Hei,
Kuch Harf Likhay Hein Zabt Ki Nasihat Mein,
Kuch Hurf Mein Us Ne Hosla Bhi Likha Hei,
Shukriya Bhi Likha Hei dil Se Yaad Karnay Ka,
dil Se dil Ka Hei Kitna Faasla Bhi Likha Hei,
Kya Usay Likhain Or
Kya Usay Kahain,
Jis Ne Be Jaan Kar K Jaan Bhi Likha Hei ..!
Mere Zarf Ka Ye Qaso0r Tha Main Dard-e-dil Na Chupa Saka,
Mare Zarf Ne Bhi DaGha Dia Main To Zarf Bhi Na Bacha Saka,
Mara Nafs Ik Alaao Tha Meri Ro0h Tak Ko NiGal Gaya,
Main Khawhishon K Is Alaao Ko Na Jala Saka Na Bujha Saka,
Jo Di Dostoon Ne Aziyatain, Thi Wo Dushmano Ki Anayten,
Main Tamam Umar Darta Raha Koi Dost Phir Na Bana SakaH
Mujhe Muflasi Ne Thaka Dia,
Mere Walwalon Ko Sula Dia,
Mujhe LouG Ye Keh Kar Juda Ho0wy Ye To Kuch Bhi Na Bana Saka ..
dil ko aata hai jb bhi khayal unka

Tasweer se puchte hain phir haal unka

wo humse pucha karte thay judai kia hai,

aaj Humari samajh main aaya hai sawal unka
Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
Hum Apne Aap Par Gharoor Nhi Krtay,


kisi ko Yaad Krne Par Majboor Nhi Krte,


Magr jise 1 bar dil Main Basa Lain,


Phir Marte Dam Tak Usay dil se Door Nhi Krte,
Jo dil k ainey mey ho wohi hay piar k kabal. warna deed k kabal tu har tasveer hoti hay.........
AQAL Kehti Hai,


Itna nA Girao Khud ko


dil yeh KehtA Hay


Ankhon se Nikal kr Dekho


ZindAGi ko BohAz Azeez hon mAin


Dhoond Laitay Hain Hadsaat Mujhay
Tumhary Bin Har ik pal Mujhe B''chain Rakhta Hai,


Mein Apna dill Hai jo Bekul ,Tumharay Naam karta Hoon.