c SMS Messages19427 messages

Paas Hote Lab choom k Jagate Tum Ko

Rakh K Dil Pe Haath Dharkanai''n Sunate Tum Ko

Aur Jo Tum Sukoon Ki Aarzu Kerte

Rakhte Sar Seene Pe Aur Sulate Tum Ko ...
Mehwar-e-Sooch dono ka aik hi hai

Mujhe "Uss" se or ussay "Khud" se Fursar nahi milti
"Raat"

Raat hai or main hathoon ko dekhtay huay
Soch raha hoon k ye Zindagi kis k naam karoon
Us k Naam jo dil ki Dharkano main hai
Ya phir us k Naam jo Hathoon ki lakeeron main hai..
Woh Shaks Ab Yaad Aa Raha Hai Mujh Ko
Jo Khud Ko Pamistry Ka Maahir Batata Thaa
Phir Ussi Ne Ek Din Meri Hatheli Ki
Aarhi Tirchee Lakeerain Dekhee Theen
Us Ka Jumla Hai Yaad Ab Tak
Ke Teri Fitrat Mein Hi Wafa Hai
Wafa Ki Khaatir Tu Jaan Degi
Magar Mein Yeh Bhi Jaanta Hon
Teri Wafa Ko Shikast Hogi…
TAMANNAON MAIN ULJHAYA GAYA HOON
KHILONY DE KE BEHLAYA GAYA HOON
KAFAN MAIN KIYON NA JAOON MOON cHUPA KE
BHARI MEHFIL SE UTHWAYA GAYA HOON
DIL SAAKIN WA JAAMID MERA WUJOOD SAHI
DIL-E-NAZUK KO ZARA BHI MAGAR QARAR NAHIN
BOHOT SOcHA THA BHOOL JAOON GA TUJH KO
TERE YADOON KE SAIY SE MAGAR FARAR NAHIN
Mere Wajud Mein Wafa Ki Roshni Utaar De Phir Itna Pyar De K Mjhko chahton Mein Maar De Bohat Udas Tha, So Uth K Tere Pas Aa Gaya Kuch Aisi Baat Kr Jo Dil Ko chain De Qraar De Suna Hai Teri Ik Nazar Sanwa rti Hai Zindgi Jo Ho Skey To Aaj Meri Zindgi Sanwar De
A Mahtaab Tu Kbi Jo Mera chand Dekh Le
Qasam KHUDA Ki Apni Jan Tu Bhi Us Pr Waar De Mera Asaasa-E-Hayat chin Gaya Hai Doston Do chaar Din Ki Zindgi Koi Mujhe Udhaar De...
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
Mohhabat Ka GhuM HoTa BohuT Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa BohuT Hai,
UDasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein SanaTa BohuT Hai,
Na MiLne Ki QasaM Kha K Bhi Main Ne,
TuJhe Har Raah Mein DhunDa BohuT Hai,
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne TuJhe Dekha BohuT Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
ShayiD MuJhe Rona BohuT HaI,
TuJhe MaLooM To HoGa MeRe HuMDuM,
TuJhe Aik Shakhs Ne chaha BohuT HaI.!
Ao janch letey hn durd k tarazo pr
kisk gham kaha tak hain.
Shidtain kaha tak hn
kuch azez logo se pochna to perta h
aj kal muhabt ki qimtain kaha tak hn
Aj sham ajao khul k hal_e_dil kah lain kon jane sanso ki muhltain kaha tk hn.
Mohabat aisa nagma hai
Zara bhi jhool hole mein
to sur qayam nahi hota
Mohabat aisa shola hai
hawa jaisi bhi chalti ho
kabhi madham nahi hota
Mohabat aisa rishta hai
k jis mein bandhan waloon k
diloon mein gham nahi hota
Mohabat aisa pouda hai
jo tub bhi sabz rehta hai
k jub mousam nahi hota
Mohabat aisa rasta hai
agar pairoon mein larzish ho
to yeh mehram nahi hota
MOHABAT AISA DARYA HAI
K BARISH ROOTH BHI JAYE
TO PANI KUM NAHI HOTA
Tumhain jana ijazat hai
Koi b rasta chun lo

Kesi ki muntazir tehro
Ya hum ko alwida kehdo