c SMS Messages19427 messages

kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein tere nazar say apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa dost pir b dekh zinda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza
Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Meri jaagi hoi raaton ko usi ki hai talaash

Soo raha hai meri Aankhon mai jo sapna ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Raat bhi agar aye tu bhujti nahi chehrey ki chamak

Rooh mai phail gya hai wo ujala ban ker

Dhoop mai wo khoo gya hath chorwa ker Raheel

Ghar sey jo sath chala tha mera saaya ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...
chaha hai tuju ko chahat sy zayda..Samja hai tuj ko mohabbat sy zayda..Ye main janta hoon ya Dil janta hai.......
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Mujh say meray chaak-i-guraybaan ka haal pochtay ho
kyun meray dostoun ki bewafai ka aahwaal pochtay ho,

num hoti hoein ankhain labu pay bikhri muskurahath
bikhray baaloun urtti rangat ka ahwal pochtay ho?

mein nay gham k sitaar pay hath rakhay hain
rundhi aawaz k geet ka kya sur-taal pochtay ho

chirrak k namak meray nasoor pay aa dost tum
perham k aser pay hua kya mera haal pochtay ho

qerya qerya bikhrri hain meri ruswaiyoun ki dastaain
jo meray yaar nay chali hai mujh say woh chal pochtay ho

maan khushiyaan sab lay ker tum aa dost
tum "Duaa" say khali hathu ka sawal pochtay ho
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
Kabhi subha hogi na shaam hogi

ashi koi kahani mare naam hogi

saahil ki mooj ka kiya pata

raat pey likhi tahreer gumnaam hogi

chalte rahay hain bas younhi

jane apni manzil ki gaam hogi

her ati saans per hoti hai subha

koun jane kab zindagi ki shaam hogi

tum mujhay jitna kureidoo gay

mari metti utni hi kaam hogi

jee raha hoon is umeed per main

tare dar pay zindagi ki shaam hogi

jis ki yaad main jitay hain hum

yeh zindagi bas us k naam hogi.
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

chahat teri meri deewangi apni jagah
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

Goo kafi nahi pyarr mai lamhoon ka milan
Hota hai ajaam-e-ulfat roohon ka aik hona

Bikhrey hathon ko samait kyon nahi letey
Mushkil buhat hai Urooj-o-zawaal ka aik hona

Aab bhi yaad atey hain beetey hoye pal
Wo zulfon ka bikhrana or nazron ka aik hona

Aik hi hotey hain aksar rastey humarey
ZAROORI NAHIN MAGER, MANZIL KA IK HONA
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t