bass SMS Messages49 messages

Mujhe bass itna kehna hai, kabhi main yaad aoon to
Kabhi tanhayee ki raatain, tumhai zyada satayen to
Kabhi titli na bole to, aur jugnu lot jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye, Koi jab sun na paye to
Kabhi sab dost saathi bhi jo tum se rooth jayen to
Kabhi jab khud se lad ker thakan se chur ho jao to
Kabhi chahte huwe bhi khud akele roo na pao to
Apni aankhon ko band kerna mujhe awaz de dena
Phir mere tasawwur se jo chahai baatain keh dena
Mere kandhe per sir rakh ker tum jitna chahe ro lena
Jab main khud lout jaon to apni dunya chale jana
Magar bass itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khusyoon main
Humain dil se pukaro ge
Humain tum saath pao ge.
Banke Gajra Terey Baalon Mein Bikhar Jaon Mein
Misl-e-Kajal Teri Ankhaon Mein Sanwar jaon Main

Sans Banke Kabhi Nathnoan Se Kabhi Hontoan Se
Hoale Hoale Tere Seeney Mein Utar Jaon Main

Arzo Dil Ki Merey Jaan-e-Wafa bass Hai Yehi
Terey Hontoan Pe Hansi Banke Nikhar Jaon Mein

Mar Ke Bhi Saath Rahe Teram Bas Ek Iske Liye
Khoon Banke Teri Rag Rag Mein Utar Jaon Mein
"tabassum bhi, haya bhi or berukhi bhi
tera har andaz dil ko bahut bhata he"
Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon…
Abi Tak Sada Raka Hai Ya Kagaz Apni Chahat Ka,
Manasib Jab B Samjha Ga Koi Paigham Likh Dain Ga,
Koi Paigham Kiya Likna Iss Chotay Sa Kagaz Par,
bass Jissa Hum Chatain Hai Usi Ka Naam Likh Dain Ga
Aisi Kia Dua Doon Tum Ko , Jo Tumhari Labon Pe hansi k Phool Khila day..
bass Yehi Dua Hai Meri , Sitaron Si Roshni Khuda Tumhari Taqdeer bana De ...

( AMEEN )
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABbass ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.
Kabbah Ali(a.s) k faiz se gulzaar ban gaya.
but khanay se jo badla bawaqar ban gay...
Kabba Ali(a.s) ka shukir manay k wastay...
kala libass pahn k azadar hogaya...
Bijli Bord vich post nikli hai salri "50000"rs h r r z milnge.
Kam koi nahi bass "11kv" tar te GILLA kapra mar ke saaf karni hai.
BEST OF LUCK.
Sitam to yai hai ...

Sitam to yai hai kai ham tum sai dil laga baithey
Apni khushiyoon ko bhi ham tum pai hi loota baithey
Sitam to yai hai....

Tujh ko chaha tha itna kai ham bata na sakkey
Teri chahat ko bhi dil mai ham chupa na sakkey
Sitam to yai hai....

Tum nai samjha na tha kaabil apney ham ko
Issliye tum mohabbat ko tum mitta baithey
Sitam to yai hai....

Bharrey Bazm mai jo tum nai mujh ko ruswa kiya
Iss ruswayee ko to ham wahi mitta baithey
Sitam to yai hai....

Meri waffa ka badla jo jaffa sai diya tum nai
Teri iss sitam ko bhi ham dil mai bassa baithey
Sitam to yai hai....
Kuch Dur Hamare Sath Chalo
Hum Dil Ki Kahani Keh Dain Ge
Samjhe Na Jise Tum Ankhon Se
Woh Bat Zubani Keh Dain Ge
Pholun Ki Tarah Jab Hounton Pe
Ek Shokh Tabassum Bikhre Ga
Dheere Se Tumhare Kanoun Mein
Ek Baat Purani Keh Dain Ge
Izhare-E-Wafa Tum Kia Jano
Iqrar-E-Wafa Tum Kia Jano
Hum Zikr Karain Ge Ghairun Ka
Aur Apni Kahani Keh Dain Ge