Zindagi SMS Messages861 messages

Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi Zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
Hausle Zindagi Ke Dekhte hai..
Chalo Kuch roz Jee ke Dekhte hai...
Baarishon se to Pyas buzhtee nahin...
Aao Ab Zeher Pee ke Dekhte Hain....
Hume Hai Mohabbat Tumse Kaise Tujhe Hum Bataye
Yeh Raaz Bhala Kaise Duniya Se Hum Chhupaye

Eh Sanam Teri Saadgi Pe Fida Ho Gaye Hum
Tera Chehra Yeh Roz Sapno Mein Aakar Hume Sataye

Tumhe Kya Khabar Koi Tumhe Kis Qadar Chahta Hai
Dil Darta Hai Jataye To Kaise Hum Jataye

Dil Ki Har Umang Pe, Mausam Ke Har Rang Pe
Koi Chupke Se Aakar Tera Naam Kyun Likh Jaaye

Tum Basi Hui Ho Humdum Sirf Mere Sapno Mein
Par Tum Zindagi Ki Haqiqat Ho Kaise Hum Batlaye

Mohabbat Ka Koi Imtihaan Lekar Dekho Meri Sanam
Tere Liye Khuda Ki Kasam Chir Ke Dil Dikhlay
Kisi lamhe kuch jo sochoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kabhi yun hi akele main

beet-e- dino ko soch ker

Koi geet jo gungunaoge

Tumhain hum yaad aayenge

Sab doston ki mehfil main

Kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge

Tumhain hum yaad aayenge

Zindagi ke kisi morr per

Apne Dil ki baat ko

Kisi se keh na paoge

Tumhain hum yaad aayenge
Wehshaton ke mor par le aai mujh ko Zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko Zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko Zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko Zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko Zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko Zindagi
Mujhe naaz hai ke too mera pyar hai...
Tum ho to mujhe jine ka armaan hai...
Tumhe milne se dil khil uthta hai...
Meri Zindagi ki ek toohi pahechaan hai...
Tere siwa mujhe kisi se kya kaam hai...
Tere bina mera jina bhi bekaar hai...
Mujhe naaz hai ki toohi mera pyar hai...
Aankho mein kyun aanso jalak jaate hai,
Tanhaiyo mein kyun gham yaad aate hai,
Aanso poch kar koi yeh bata de humein,
Aksar Zindagi mein ghum barbar kyun ate hain...
Muje manzilon se aziz hain teri rahguzar ki musafaten
K likhi hain mere naseeb men abi umar bhar ki musafaten

Isi ik pal ki talash men jise log kehte hain Zindagi
Teri rah guzar men bikhar gayeen meri umar bhar ki musafaten...;>
US NAY PHOOL BHEJAY HAIN
US NAY PHOOL BHEJAY HAIN


us nay phool bhajay hain
phir meri ayadat ko
eik eik patti ma
un laboon ki narmi ha
un jamil hathoon ki
khushgawar hiddat ha
un latif saansoon ki
dilnawaz khushboo ha
dil ma phool khiltay hain
rooh ma chiraghan ha
Zindagi mouattar ha
phir bhi dil ye kehta ha
baat kuch bana leta
waqt k khazanay say
eik pal chura leta
kash.....wo khud aa jata
Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo Badalti Khuwahishain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain

Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai

So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai
Wiswas bana k log Zindagi me aate hai. khwab ban k aakho me sma jate hai. pehle to ye yakin dilate hai ki wo hmare hai, fir na jane kyu tanha chod jate hai.
kaash.......................
ae kaash k ye chahat mere bas ki baat hoti.,
to Zindagi mein kisi namumkin khawish ki jagah na hoti....
tujse mili to khud ko Zindagi se rubaru paya...
ae kash k ye kashish do tarfa hoti.......
khusnasib hain jo mohabbat se nawaze gae..........
ae kaash k mere muqaddar mein b wo ek lakeer hoti....
tu mile aur mere do jahan muqammal ho........
ae kaash k tere aasman ki zarurat meri zamin hoti...
izhaare mohabt shabdon ki mohtaaj nahi...........
ae kaash k alfaaz se zyada ehmiyat tune ehsaas ko di hoti.....
main baawri hun jo sapne mein haqiqat ko talashti hun.....
AE KAASH K MACHHLI AUR PANCHHI KI REHGUZAR EK HOTI.............
AE KAASH.............