Ujar SMS Messages37 messages

Ek Uski Khushi Mein APni Jaan War Don
Jeti Hui Bazi Ko Ek Pal mein Haar Don
Unki Aankho Mein Aanso Hamse Dekhe Nahi Jate
Je De Usey Gham Uski Duniya Ujar Don
muhabat karny do mujh ko
kisi py marny do mujh ko

Ujara is ne gulshan ko

hawa sy larny do mjujh ko

main kamzor darya hun

tu phir utarny do mujh ko

meri hasti adhuri hai

mukammal karny do mujh ko
Mohabbat Mein Lakhon Zakham Khaye Humne
Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi
Mat Pucho Kya GUjarti Hai Dil Par
Jab Wo Kehte Hai Hamein Tumse Pyar Nahi
Kabhi yaad aao to is tarhan,
Kabhi gungunao to is tarhan,
Mera dard phir se ghazal bane,
Kabhi dil Dukhao to is tarhan,
Meri Dharkanen bhi laraz uthen,
Kabhi bhool jao to is tarhan,
Na sisak saken na balak saken,
Kabhi choor jao to is tarhan,
Na Ujar saken na sanwar saken,
Kabhi yaad aao to is tarhan

Rukh-e-Shabab Sy
Aanchal Jo Sarakta Dekha

Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha

Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy

Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha

Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch

MainNy Gulshan Ko
Baharo''n main Ujarty Dekha
Din Dhaltey Hi Ujarr
Jaati''n Hyn Aankhei''n

Jis Terha Shaam Ko
Bazaar Kisi Gaao''n Mein
Rooth Jane Ki Adaten Na Gai
Dil Jalane Ki Adaten Na Gai

Zakhm Kha Kr B Tujh Se Nam Tera
Gungunane Ki Adaten Na Gai

Pyar Se Jo B Mil Gya Us Ko
Dukh Sunane Ki Adaten Na Gai

Chand Ki, Sharm Se Naqabon Me
Mu''n Chupane Ki Adaten Na Gai

Do Dilon Ko Ujar K Hansna
Ye Zmane Ki Adaten Na Gai

Chand Jesa Hr Ik Hasee''n Chehra
Dil Ko Bhane Ki Adaten Na Gai

Beesiyon Bar Aazma K Hmen
Aazmane Ki Adaten Na Gai

Raat K Pichle Peher Ey Ayaz
Ghr Ko Aane Ki Adaten Na Gai
Gham-E-Zendagi Teri Raha Mein
Shab-E-Arzo Teri Chaha Mein

Ju Ujar Gia Wo Basa Nahi
Ju Bichar Gia Wo Mila Nahi
hasee''aankhon ko parhne ka abi tak shoq hai mujh ko...

mohabbat main Ujarr kar bhi meri aadat nahin badli..
Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay,
Hum ko jana hai kahin shaam se pehlay pehlay.

Khush ho ay dil, k mohabbat to nibha di tun ne,
Log Ujar jatay hain anjaam se pehlay pehlay.

Ab Us k zikr pe hum baat badal detay hain,
Kitni rughbat thi Us k naam se pehlay pehlay.

Samnay umar pari hai shab-e-tanhaai ki,
Wo mjhay chor gaya shaam se pehlay pehlay.

Kitna acha tha k hum b jiya karte the,
Ghair-maroof se, gumnaam se pehlay pehlay.
mohsin dil-e-ghreb ki veranian tu daikh.

kaisa ngar tha jo tere hathoon Ujar gia...!!!
para na farq anokhi zuban likhne se.

zamen zamen he rhi asman likhne se.

rha jis se taluq her ghari mera.

wo ban saka na meri jan,jan likhne se.

panah mil na saki ek pal kabhi mjko.

kisi Ujari jaga ko makan likhne se.

kari tapish se jhulsta raha badan mera.

k dhup dhup hi rahi sayeban likhne se.