Kabhi yaad aao to is tarhan,
Kabhi gungunao to is tarhan,
Mera dard phir se ghazal bane,
Kabhi dil Dukhao to is tarhan,
Meri Dharkanen bhi laraz uthen,
Kabhi bhool jao to is tarhan,
Na sisak saken na balak saken,
Kabhi choor jao to is tarhan,
Na ujar saken na sanwar saken,
Kabhi yaad aao to is tarhan
Aankhon Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi
Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi
Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho
Hum Hai Ki Unko Dekhne K Baad Soye Hi Nahi
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain
Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?