Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay,

Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay,
Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay,
Hum ko jana hai kahin shaam se pehlay pehlay.

Khush ho ay dil, k mohabbat to nibha di tun ne,
Log ujar jatay hain anjaam se pehlay pehlay.

Ab Us k zikr pe hum baat badal detay hain,
Kitni rughbat thi Us k naam se pehlay pehlay.

Samnay umar pari hai shab-e-tanhaai ki,
Wo mjhay chor gaya shaam se pehlay pehlay.

Kitna acha tha k hum b jiya karte the,
Ghair-maroof se, gumnaam se pehlay pehlay.
  

May, 28 2010     449 chars (3 sms)     3826 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

wo or ko chahta raha or mujy apni muhbat ka yaqeen dilata raha.

hum nadan thy wo taslyan or dalsy k sath dhoky b dta raha.
RAIT PER LIKH KER MERA NAAM MITAYA NA KARO

AANKHEIN SUCH BOOLTI HAIN PYAAR CHUPAYA NA KARO

LOOG HER BAAT KA AFSANA BANA LETEY HAIN

SUB KO HALAT KI RUDAD SUNAYA NA KARO

YEH ZAROORI NAHIN HER SHAKS MASEHA HI HO

PYAAR KEY ZAKHAM AMANAT HAIN DIKHAYA NA KARO

SHEHRE-Y-EHSAS MEIN PATHRAO BUHAT HAIN "WaFa"

DIL KO SHESHE KEY JHAROONKOON MEIN SAJAYA NA KARO
Us ko mera halka sa ehsaas to hai
be-dard sahi woh meri humraaz to hai

woh aaye na aaye mere paas lekin
shiddat se mujhe uska intezar to hai

abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi
mere dil mein us se milan ki aas to hai

pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai...
Janta Hoon Tu Mera Ho Nahi Sakta
Magar Yeh Soch Ker
Keh
Dunia, Hadsaat
Ajoobat
Aur
Itafaqat Ki Ser Zameen Hay
Khud Ko Dhokay Main Lay Aata Hoon
Kia Aay Dost
Sha''oor-e-Zaat Kho Saktay Ko
Apni Raah Badal Saktay Ho
Kia Khud Ko Dubo Saktay Ho
Kia Sach Ki Nafi Ker Saktay Ho
jab uska dard mere saat wafa karta hay,
Ek samandar sa meri ankhon se baha karta hay.
uski batein muj ko khushbo ki tarah lagti hay,
phool jaise koi sehra may khilla karta hay.......
main is sa bar k zbat
ke masal aur kya doon
wo muj sa leepat k
roohay kise aur k lya
Aankho mein aansoo aye na hote .
Agar wo peeche se muskuraye na hote.
Unke judai ke baad ye gam hota hai ki.
Kash wo jindgi mein aye na hote
kuch Nahi chaiye Tujhse Aye meri Umre rawaan





mera Bachpan mera jugnoo meri Gudiya la de
hum bhi adhuray se hain kuch tum bhi adhuray
se hoo shayad hum dono eik dusray ki wajah se adhuray hain adhurapan bhi kya bala hai ashq thamtay nahin pyaas ghatti nahin
"Fursatain milain jab B Ranjishain Bhula dena,,,

Kon jaane saanson Ki mohlatein Kahan tak hain..."
kash usk ru baro na karen mujko hashar main.

kitne meray sawal hen jin ka nahi jawab hai.
taskeen dil k waste wada to kejaye..

humain tu maloom hai aap se aya na jaye ga..