Teri SMS Messages1016 messages

............BHULAYA NA JAA SAKA............
Palkon pe aanso''on ko sajaya na jaa saka../
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka../
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera../
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka../
jab Teri yaad aayi to koshish ke bawajood../
aankhon main aanso''on ko chupaya na jaa saka../
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain../
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka../
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho../
hum se to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka../
woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar../
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka../
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye../
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka../
Main khud gharz itna hoon k bas yehi chahoon.../

Rahein hamesha MERI Muntazir Teri ankhein.../
kitni bechain hai ye sanse meri bina tere bohat roti hain ye aankhein meri

kab se meri aankho ko neend aati he nahi bahain mangti hai mujh se ratain Teri

jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi tum ko bola rahi hai ye bahein meri

kitni bechain hai ye sanse meri
bina tere bhut roti hai ye aankhein meri
Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se Teri dosti se pehley
Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley
Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi Teri chandni se pehley
Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley
dard ka kard is kadar hei ki,
aankhein num rehti hein
kuch aansu jo humne bahaye hi nahi
or aapne sumjha hum kabhi roye he nahi
aap puch rahe the kuch meri nind ke baare mein
or ik hum hein ik umer se soye hhi nahi
tere intezaar mein jo saanse li hein ab tak
har saans ka dard kuch is kadar hei ki
tujhe pani ki koshish thi tjhe khone ka gumm hei
Teri yaad mein ye aankhein barson se numm hein
Tere dil ko chhu ke hawa jo guzre kabhi
Samajh lena humko yaad Teri aaye abhi
Humne socha kaise tumko pata chale
Boli hawa," Mein dila ke ehsaas aaye abhi "
Saath tere chalti rahegi yun yeh fiza
Jaise meri dhadkan dil mein samaye abhi
Dekh ke dewaane tumko hum ho gaye
Nazaron pe meri awaargi hai chaaye abhi
Lag rahi hoon khush mein aaj kyun itna
Lagta hai Uss ne Kismat meri banaye abhi
Dil ko seene mein dabaye rakha per dhadakta sirf tere liye ye dil,
Tera toh naam hai mere iss dil, awaas Teri bhi yahan hai iss dil,
Aaaja mere tuh iss dil, ki mil jayen phir yeh do dil,
Tujhko phir na karne dun mein shikwa ki humdono hain ek dil !!
Utre jo Teri zindagi ki gehrai me hum,
mehfil me reh ke bhi rahe tanhai me hum,
Diwangi nahi to ise aur kya kahe,
Tujhe dhondte rahe apni hi parchai mein hum.../
ay kaash kabi esa hota
tujh ko sirf mujh se piyar hota
kismat ka ye shahkar hota
waqt humara gulam hota
Teri aankhon main halkore khata hua
wo aks sirf mera hota
duniya ka na phir koi dar hota
dushman na koi humare beech hota
ye zamana humara meet hota
mere labon pa tera geet hoya
main mar b jaoon to kiya hota
tu zinda hota mera piyar zinda hota......
IS ZAMANE SEY NA HUM KOI GILAA RAKHAIN GAY
DIL LAGAYEIN GAY TO NA SHART-E-WAFA RAKHAIN GAY
NA DIKHAYAIN GAY KABHI DIL PE LAGE ZAKHM
UNHAIN DARD UTHEY GA MAGAR DIL KO DABA RAKHAIN GAY
JAAN DE DAINGEIN AGAR AIK ISHAARA KAR DE
HAM USEY APNE LIYE BHI NA BACHA RAKHAIN GAY
SAB HATA DAINGAY Teri RAAH KI RUKAWAT HAMDAM
GHAR KE DARWAZEY KO HAR WAQT KHULA RAKHAIN GAY
UNKI HAR BAAT KO BHOOLEY SE NA BHOOLAIN GEIN KABHI
UNKI YADOON KO BHI SEENAY SE LAGA RAKHAIN GAY
TOOT BHI JAAYEGI UMEED JO TERE AANAY KI "SAQIB"
EK DIYA PHIR BHI HAWAAON MAIN JALA RAKHAIN GAY
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua Teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e dosti se mujhe...
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain
Chaar su goonjti ruswaii kisay kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Koi lamha hu Teri yaad main kho jatay hain
Abb tu khud ko bhi mayassar nahin aa patay hain
Raat hu din hu teray piyar main hum bahtay hain
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Yun tu duniya ki her ik cheez haseen huti hay
Pyar se barh kay magar kuch bhi nahin huti hay
Raasta roak kay her ik se yehi kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain